Bastiyon mein ek sada-e-be-sada rah jaayegi,
Baam o dar pe naqsh tahreer-e-hawa rah jaayegi,
Aansuon ka rizq hongi be-nateeja chahatein,
Khushk honthon par larazti ek dua rah jaayegi,
Ru-ba-ru manzar na hon to aaine kis kaam ke,
Hum nahin honge to duniya gard-e-pa rah jaayegi,
Khwaab ke nashshe mein jhukti jaayegi chashm-e-qamar,
Raat ki aankhon mein phaili iltija rah jaayegi,
Be-samar pedon ko choomenge saba ke sabz lab,
Dekh lena ye khizaa'n be-dast-o-pa rah jaayegi.!!
"Amjad Islam Amjad"
No comments:
Post a Comment