#Nazm
Bastiyan hon kaisi bhi pastiyan hon jaisi bhi,
Har tarah ki zulmat ko raushni kaha jaaye..
Khaak daalein manzil par bhool jaayein saahil ko,
Rukh jidhar ho paani ka us taraf baha jaaye..
Mulk bech daalein ya aabru rakhein girwi,
Jaisa hukm-e-haakim ho us tarah kiya jaaye..
Shor mein sadaaon ke ajnabi hawaaon ke,
Kaun sunne waala hai? kis se ab kaha jaaye..
Guftugu pe pahre hain har taraf katahre hain,
Raaste muayyan hain har qadam pe likkha hai,
Kis jagah pe rukna hai! kis taraf chala jaaye..
Dil ki baat kahne ka ek yahi tareeqa hai,
Chhup ke saari duniya se ab gharon ke kono'n mein,
Aap hi suna jaaye aap hi kaha jaaye..!!
"Amjad Islam Amjad"
No comments:
Post a Comment