Wednesday, May 23, 2018

Bade Khatre Mein Hai Husn-e-gulistaan Hum Na Kahte The

Bade khatre mein hai husn-e-gulistaan hum na kahte the,
Chaman tak aa gayi deewar-e-zindaan hum na kahte the,

Bhare bazaar mein jins-e-wafa be-aabru hogi,
Uthega aitebaar-e-ku-e-jaanaa hum na kahte the,

Usi mahfil usi bazm-e-wafa ke goshe goshe mein,
Lutegi masti-e-chashm-e-ghazalaa'n, hum na kahte the,

Isi raste mein aakhir wo kadi manzil bhi aayegi,
Jahaan dam tod degi yaad-e-yaraa'n hum na kahte the,

Khizaa'n ki aahaton par kaanpti hain pattiyan gul ki,
Bikharne ko hai ab zulf-e-bahaara'n hum na kahte the,

Dil-e-fitrat-shanaas aakhir kahin yunhi dhadakta hai,
Fareb-e-husn hai jashn-e-charaghaa'n hum na kahte the.!!

"Saifuddin Saif"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...