Monday, May 28, 2018

Ai Be-khudi Thehar Ke Bahut Din Guzar Gaye

Ai be-khudi thehar ke bahut din guzar gaye,
Mujh ko khyaal-e-yaar kahin dhundhta na ho...

Saahil pe ja lagegi yunhi kashti-e-hayat,
Apna khuda to hai jo nahin na-khuda na ho...

Achchha hijaab hai ke jab aate hain khwab mein,
Phir phir ke dekhte hain koi dekhta na ho... 

Dil hi nahin hai jis mein na ho dard ishq ka,
Wo dard hi nahin hai jo har dam siwa na ho.!!

"Faani Badayuni"

2 comments:

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...