Friday, May 25, 2018

Abhi To Aap Hi Haail Hai Raasta Shab Ka

Abhi to aap hi haail hai raasta shab ka, 
Qareeb aaye to dekhenge hausla shab ka, 

Chali to aai thi kuchh door saath saath mere,
Phir is ke baad khuda jaane kya hua shab ka,

Mere khyaal ke wahshat-kade mein aate hi,
Junoon ki nok se phoota hai aabla shab ka,

Sahar ki pahli kiran ne use bikher diya,
Mujhe sametne aaya tha jab khuda shab ka,

Zameen pe aa ke sitaron ne ye kaha mujh se,
Tere qareeb se guzra hai qaafila shab ka,

Sahar ka lams meri zindagi badha deta,
Magar giraa'n tha bahut mujh pe kaatna shab ka,

Kabhi kabhi to ye wahshat bhi hum pe guzri hai,
Ke dil ke saath hi dekha hai doobna shab ka,

Chatakh uthi hai rag-e-jaan to ye khyaal aaya,
Kisi ki yaad se judta hai silsila shab ka.!!

"Abhishek Shukla"
__________

Haail = obstacle/ intervening,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...