Thursday, May 24, 2018

Abhi Gunaah Ka Mausam Hai Aa Shabaab Mein Aa

Abhi gunaah ka mausam hai aa shabaab mein aa,
Nasha utarne se pahle meri sharaab mein aa..

Dhanak si khwab si khushbu si phir baras mujh par,
Nayi ghazal ki tarah tu meri kitaab mein aa..

Utha na der tak ahsaan mausam-e-gul ka, 
Main zindagi hun mujhe ji mere azaab mein aa..

Wo mere lab ke parinde wo tera jheel-badan,
Bujha na pyaas meri tu magar saraab mein aa..

Tere dareeche se hai door mera darwaza,
Agar tu dard hai mera to dil ke baab mein aa..

Main tujh ko jaagti aankhon se chhu sakun na kabhi, 
Meri ana ka bharam rakh le mere khwab mein aa..!!

"Abdullah Kamal"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...