Wednesday, May 23, 2018

Aaye The Un Ke Saath Nazare Chale Gaye

Aaye the un ke saath nazare chale gaye,
Wo shab wo chandni wo sitare chale gaye..

Shayad tumhaare saath bhi waapas na aa sakein,
Wo walwale jo saath tumhaare chale gaye..

Kashti tadap ke halqa-e-tufaan mein rah gayi,
Dekho to kitni door kinare chale gaye..

Har aastaan agarche tera aastaan na tha,
Har aastaan pe tujh ko pukare chale gaye..

Shaam-e-wisaal khana-e-ghurbat se rooth kar,
Tum kya gaye naseeb humare chale gaye..

Dekha to phir wahin the chale the jahaan se hum,
Kashti ke saath saath kinare chale gaye..

Mahfil mein kis ko taab-e-huzoor-e-jamaal thi,
Aaye teri nigaah ke maare chale gaye..

Jaate hujoom-e-hashr mein hum aasiyaan-e-dahr,
Ai lutf-e-yaar tere sahaare chale gaye..

Dushman gaye to kashmakash-e-dosti gayi,
Dushman gaye ke dost hamare chale gaye..

Jaate hi un ke 'Saif' shab-e-ghum ne aa liya,
Rukhsat hua wo chaand sitare chale gaye.!!

"Saifuddin Saif"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...