Tuesday, May 8, 2018

Aaya Hun Sang O Khisht Ke Ambaar Dekh Kar

Aaya hun sang o khisht ke ambaar dekh kar,
Khauf aa raha hai saaya-e-deewar dekh kar,

Aankhein khuli rahi hain meri intizaar mein,
Aaye na khwaab deeda-e-bedaar dekh kar,

Ghum ki dukaan khol ke baitha hua tha main,
Aansu nikal pade hain kharidaar dekh kar,

Kya ilm tha phisalne lagenge mere qadam,
Main to chala tha raah ko humwaar dekh kar,

Har koi paarsaai ki umda misaal tha,
Dil khush hua hai ek gunahgaar dekh kar.!!

"Adeem Hashmi"
___
Khist = a brick or tile,

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...