Thursday, May 10, 2018

Aah Jo Dil Se Nikaali Jaayegi

Aah jo dil se nikaali jaayegi,
Kya samajhte ho ke khaali jaayegi,

Is nazakat par ye shamshir-e-jafa,
Aap se kyunkar sambhaali jaayegi,

Kya ghum-e-duniya ka darr mujh rind ko,
Aur ek botal chadha li jaayegi,

Shaikh ki daawat mein may ka kaam kya,
Ahtiyatan kuchh manga li jaayegi,

Yaad-e-aabru mein hai 'Akbar' mahw yoon,
Kab teri ye kaj-khyaali jaayegi.!!

"Akbar Allahabadi"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...