Tuesday, April 24, 2018

Dard Ke Chaand Ko Raaton Ka Sitam Sahne Do

Dard Ke Chaand Ko Raaton Ka Sitam Sahne Do,
Waqt Ki Aankh Se Kuch Aur Lahu Bahne Do,
Ab Mere Tarz-e-takhatib Se Pareshaan Kyun Ho,
Main Na Kahta Tha Ke Yaaro, Mujhe Chup Rahne Do.!! 

"Mohsin Naqwi"
درد کے چاند کو راتوں کا سِتم سہنے دو،
وقت کی آنکھ سے کُچھ اور لہُو بہنے دو،

اب مِرے طرزِ تخاطب سے پریشاں کیوں ھو،
میں نہ کہتا تھا کہ یارو! مجھے چُپ رھنے دو..!!

"محسن نقوی"

1 comment:

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...