Wednesday, March 7, 2018

Zamana Hai Ke Guzra Ja Raha Hai

Zamana hai ke guzra ja raha hai,
Ye dariya hai ki bahta ja raha hai,

Wo utthe dard uttha hashr uttha,
Magar dil hai ke baitha ja raha hai,

Lagi thi un ke qadmon se qayamat,
Main samjha saath saaya ja raha hai,

Zamane par hanse koi ke roye,
Jo hona hai wo hota ja raha hai,

Mere daagh-e-jigar ko phool kah kar,
Mujhe kaanton mein kheencha ja raha hai,

Bahaar aai ke din holi ke aaye,
Gulon mein rang khela ja raha hai,

Rawaan hai umr aur insaan ghaafil,
Musaafir hai ke sota ja raha hai,

Sar-e-mayyat hai ye ibrat ka nauha,
Mohabbat ka janaza ja raha hai,

'Jaleel' ab dil ko apna dil na samjho,
Koi kar ke ishaara ja raha hai..!!

"Jaleel Manikpuri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...