Tujh Se Bichhad Ke Hum Bhi Muqaddar Ke Ho Gaye,
Phir Jo Bhi Dar Mila Hai Usi Dar Ke Ho Gaye,
Phir Yoon Hua Ke Ghair Ko Dil Se Laga Liya,
Andar Wo Nafratein Thin Ke Baahar Ke Ho Gaye,
Kya Log The Ke Jaan Se Badh Kar Azeez The,
Ab Dil Se Mahw Naam Bhi Aksar Ke Ho Gaye,
Ai Yaad-e-yaar Tujh Se Karein Kya Shikayatein,
Ai Dard-e-hijr Hum Bhi To Patthar Ke Ho Gaye,
Samjha Rahe The Mujh Ko Sabhi Nasehaan-e-shahar,
Phir Rafta Rafta Khud Usi Kaafir Ke Ho Gaye,
Ab Ke Na Intezaar Karein Chaaragar Ka Hum,
Ab Ke Gaye To Koo-e-sitamgar Ke Ho Gaye,
Rote Ho Ek Jazeera-e-jaan Ko 'Faraz' Tum,
Dekho To Kitne Shahar Samandar Ke Ho Gaye..!!
"Ahmad Faraz"
تجھ سے بچھڑ کے ہم بھی مقدر کے ہو گئے۔
پھر جو بھی در ملا ہے اسی در کے ہو گئے۔
پھر یوں ہوا کہ غیر کو دل سے لگا لیا۔
اندر وہ نفرتیں تھیں کہ باہر کے ہو گئے۔
کیا لوگ تھے کہ جان سے بڑھ کر عزیز تھے۔
اب دل سے محو نام بھی اکثر کے ہوگئے۔
اے یادِ یار تجھ سے کریں کیا شکائیتیں۔
اے دردِ ہجر ہم بھی تو پتھر کے ہوگئے۔
سمجھا رہے تھے مجھ کو سبھی ناصحانِ شہر۔
پھر رفتہ رفتہ خود اسی کافر کے ہوگئے۔
اب کے نہ انتظار کریں چارہ گر کا ہم۔
اب کے گئے تو کوئے ستم گرکے ہوگئے۔
روتے ہو اک جزیرہ ء جاں کو فراز تم۔
دیکھو تو کتنے شہر سمندر کے ہو گئے۔
"احمد فراز"
No comments:
Post a Comment