Friday, March 2, 2018

Hua Khatm Dariya To Sahra Laga

Hua khatm dariya to sahra laga,
Safar ka tasalsul kahaan ja laga,

Ajab raat basti ka naqsha laga,
Har ek naqsh andar se toota laga,

Tumhaara hazaaron se rishta laga,
Kaho saai'n ka kaam kaisa laga,

Abhi khinch hi jaati lahu ki dhanak,
Miyaan teer tuk tera tirchha laga,

Lahu mein utarti rahi chaandni,
Badan raat ka kitna thanda laga,

Ta'ajjub ke suraakh se dekhte,
Andhere mein kaise nishana laga.!!

"Adil Mansuri"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...