Thursday, March 29, 2018

Abhi Mitti Gundhi Hai Bas Abhi Tajseem Baaqi Hai

Abhi Mitti Gundhi Hai Bas Abhi Tajseem Baaqi Hai,
Abhi Saanche Mein Dhhalna Hai Abhi Tarmeem Baaqi Hai..

Mera Daawa Hai Ye Logo, Mohabbat Jaanta Hun Main,
Abhi Seekhe Hai Chaar Harf Abhi Tafheem Baaqi Hai..

Zanjeer-e-ishq Mein Jakda Abhi Maqtal Mein Pahuncha Hun,
Abhi To Tukde Hone Hain Abhi Taqseem Baaqi Hai..

Ajab Aalam Hai Dil Ka Bhi Udaasi Maujazin Si Hai,
Abhi Patjhad Ke Dere Hain Apni Tasneem Baaqi Hai..

Abhi Darbaar-e-ulfat Ke Hain Mujh Ko Seekhne Aadaab,
Baja Laana Hai Hukm-e-shah Abhi Ta'azeem Baaqi Hai..

Abhi Mein Us Ki Raahon Mein Bichhata Hun Faqat Palkein,
Hai Baaqi Jaan Ka Sadqa Abhi Takreem Baaqi Hai.!!

ابهی مٹی گندهی ہے بس، ابهی تجسیم باقی ہے؛؛
ابهی سانچے میں ڈهلنا ہے، ابهی ترمیم باقی ہے_؛؛

مرا دعوی ہے یہ لوگو محبت جانتا ہوں میں____؛؛
ابهی سیکهے ہیں چار حرف، ابهی تفہیم باقی ہے_؛؛

زنجیرِ عشق میں جکڑا ابهی مقتل میں پہنچا ہوں؛
ابهی تو ٹکڑے ہونے ہیں، ابهی تقسیم باقی ہے__؛؛؛

عجب عالم ہے دل کا بهی،اداسی موجزن سی ہے_؛؛
ابهی پت جهڑ کے ڈیرے ہیں ابهی تسنیم باقی ہے_؛

ابهی دربار الفت کے ہیں مجهکو سیکهنے آداب__؛؛
بجا لانا ہے حکمِ شاہ، ابهی تعظیم باقی ہے____؛؛؛

ابهی میں اسکی راہوں میں بچهاتا ہوں فقط پلکیں؛؛؛
ہے باقی جان کا صدقہ، ابهی تکریم باقی ہے!!!

3 comments:

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...