Tuesday, March 13, 2018

Ye Taalluq Teri Pahchaan Bana Sakta Tha

Ye ta'alluq teri pahchaan bana sakta tha,
Tu mere saath bahut nam kama sakta tha...

Ye bhi aijaaz mujhe ishq ne bakhsha tha kabhi,
Us ki aawaz se main deep jala sakta tha...

Main ne bazaar mein ek baar ziya baanti thi,
Mera kirdaar mere haath kata sakta tha...

Kuch masaail mujhe ghar rok rahe hain warna,
Main bhi majnoon ki tarah khaak uda sakta tha...

Ab to tinka mujhe shahteer se bhaari hai 'Khayal'
Main kisi waqt bahut bojh utha sakta tha.!!

"Ahmad Khayal"



یہ تعلق،،،، تیری پہچان بنا سکتا تھا
تو میرے ساتھ بہت نام کما سکتا تھا

یہ بھی اعجاز مجھے عشق نے بخشا تھا کبھی
اس کی آواز سے،،،،،،،،،، میں دیپ جلا سکتا تھا

میں نے بازار میں اک بار ضیا بانٹی تھی
میرا کردار،،،،،،، میرے ہاتھ کٹا سکتا تھا

کچھ مسائل مجھے،، گھر روک رہے ہیں ورنہ
میں بھی مجنوں کی طرح خاک اڑا سکتا تھا

اب تو تنکا مجھے شہتیر سے بھاری ہے خیالؔ
میں کسی وقت،،،،، بہت بوجھ اٹھا سکتا تھا..!!

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...