Apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya,
Chaand ne paani mein dekha aur paagal ho gaya,
Wo hawa thi shaam hi se raste khaali ho gaye,
Wo ghata barsi ki saara shahr jal-thal ho gaya,
Main akela aur safar ki shaam rango'n mein dhali,
Phir ye manzar meri nazro'n se bhi ojhal ho gaya,
Ab kahaan hoga wo aur hoga bhi to waisa kahaan,
Soch kar ye baat ji kuchh aur bojhal ho gaya,
Husn ki dahshat ajab thi wasl ki shab mein 'Muneer',
Haath jaise inteha-e-shauq se shal ho gaya.!!
"Muneer Niyazi"
No comments:
Post a Comment