Aaina ab juda nahin karta,
Qaid mein hoon riha nahin karta,
Mustaqil sabr mein hai koh-e-giraa'n,
Maqsh-e-ibrat sada nahin karta,
Rang-e-mahfil badalta rahta hai,
Rang koi wafa nahin karta,
Aish-e-duniya ki justuju mat kar,
Ye dafeena mila nahin karta,
Ki mein aaye jo kar guzarta hai,
Tu kisi ka kaha nahin karta,
Ek waaris hamesha hota hai,
Takht Khaali raha nahin karta,
Ahd-e-insaaf aa raha hai 'Muneer',
Zulm daaim huaa nahin karta.!!
"Muneer Niyazi"
___
Koh-e-giraa'n = big mountain,
Naqsh-e-ibrat = imprint to learn a lesson from,
Dafeena = hidden treasure, treasuretrove
ज़मीन में गड़ा हुआ धन,
Daaim = perpetual, permanent, eternal, always
हमेशा,
No comments:
Post a Comment