Wo bichhad kar bhi kahaan mujh se juda hota hai,
Ret par os se ek naam likha hota hai...
Khaak aankhon se lagaai to ye ahsaas hua,
Apni mitti se har ek shakhs jurha hota hai...
Saari duniya ka safar khwaab mein kar daala hai,
Koi manzar ho mera dekha hua hota hai...
Main bhulaana bhi nahin chaahta is ko lekin,
Mustaqil zakhm ka rahna bhi bura hota hai...
Khauf mein doobe hue shahar ki qismat hai yahi,
Muntazir rahta hai har shakhs ke kya hota hai..!!
"Munawwar Rana"
____________________
وہ بچھڑ کر بھی کہاں مجھ سے جدا ہوتا ہے
ریت پر اوس سے اک نام لکھا ہوتا ہے..
خاک آنکھوں سے لگائی تو یہ احساس ہوا
اپنی مٹی سے ہر اک شخص جڑا ہوتا ہے..
ساری دنیا کا سفر خواب میں کر ڈالا ہے
کوئی منظر ہو مرا دیکھا ہوا ہوتا ہے..
میں بھلانا بھی نہیں چاہتا اس کو لیکن
مستقل زخم کا رہنا بھی برا ہوتا ہے..
خوف میں ڈوبے ہوئے شہر کی قسمت ہے یہی
منتظر رہتا ہے ہر شخص کہ کیا ہوتا ہے..
No comments:
Post a Comment