Wafa ruswa nahin karna
Suno aisa nahin karna
Main pehley hi akaila hoon
Mujhe tanha nahin karna
Merey yeh jheel si aankhein
kabhi sehra nahin karna
Judaai bhi jo aa jaayey
to dil chhota nahin karna
Bahut masroof ho jaana
mujhe socha nahin karna
Bharoosa bhi zaroori hai
magar sab ka nahin karna
Muqaddar phir muqaddar hai
kabhi daawa nahin karna
Meri takmeel tum se hai
mujhe aadha nahin karna
Jo likha hai wohi ho ga
kabhi shikwa nahin karna
Haqeeqat hai milan apna
isey sapna nahin karna
Hamain tum yaad rahtay Ho
hamein bhoola nahi karna..!!
___________________________
No comments:
Post a Comment