Tuesday, December 5, 2017

Us Ne Kaha Ke Ishq Ka Nasha Utar Gaya

Us ne kaha ke ishq ka nasha utar gaya,
Main ne kaha ke husn bhi tum se muker gaya..

Us ne kaha ke tujh ko dilaani hain choodiya'n,
Main ne kaha ke ab wo zamana guzar gaya..

Us ne kaha ke kya hua kaajal ki dhaar ka,
main ne kaha ke aankh se dariya guzar gaya..

Us ne kaha ke ye tere chidiyo'n se dosti,
Main ne kaha ke dil mera duniya se bhar gaya..

Us ne kaha ke kya mila sab se bigaad ke,
main ne kaha ke waqt to achcha guzar gaya..

Us ne kaha ke khwaab main aane ka waqt do, 
main ne kaha ke neend ka mausam guzar gaya..

Us ne kaha ke woh tere sooraj ka kya bana,
main ne kaha ke woh mere dil main utar gaya..

Us ne kaha ke woh nahin dega tumhara saath,
Main ne kaha ke woh chalo waada to kar gaya..

Aakhir ko tang aa ke kahi us ne itni baat,
Woh tum kahaan gayin wo zamana kidher gaya..!!

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...