Sochta hoon ke usay neend bhi aati hogi,
Ya meri tarah faqat ashk bahaati hogi,
Woh meri shakl mera naam bhulaane waali,
Apni tasweer se kya aankh milaati hogi,
Is zameen par bhi hai sailaab mere aashkon se,
Mere maatam ki sadaa arsh hilaati hogi,
Shaam hote hi woh chokhat pr jalaa kar
shaamein,
Apni palkon pe kayi khwaab sulaati hogi,
Us ne silwaa bhi liye hon ge siyaah rang ke libaas,
Ab moharram ki tarah eid manaati hogi,
Mere taareek zamaano se nikalne waali,
Roshni tujh ko meri yaad dilaati hogi,
Dil ki masoom ragein khud hi sulagti hon gi,
Junhi tasweer ka kona woh jalaati hogi,
Roop de kar mujhe us me kisi shahzaade ka,
Apne bachchon ko kahaani woh sunaati hogi..!!
"Wasi Shah"
No comments:
Post a Comment