* Nazm *
_______________
Meri Aankhein Salaamat Hain,
Mera Dil Mere Seene Mein Dhadakta Hai,
Mujhe Mahsoos Hota Hai,
Mohabbat Kam Nahi Hogi...
Mohabbat Ek Waada Hai,
Jo Sachchaai Ki Andekhi Kisi Sa'at Mein Hota Hai,
Kisi Raahat Mein Hota Hai...
Ye Waada Shayeri Ban Kar Mere Jazbo'n Mein Dhulta Hai,
Mujhe Mahsoos Hota Hai...
Mohabbat Kam Nahi Hogi,
Mohabbat Ek Mausam Hai,
Ke Jis Mein Khwaab Ugte Hain To Khwaabo'n Ki Hari Shaakhain,
Gulaabo'n Ko Bulaati Hain,
Unhein Khushboo Banaati Hain,
Ye Khushboo Jab Humaari Khidkiyo'n Pe Dastakein De Kar Guzarti Hain,
Mujhe Mahsoos Hota Hai,
Mohabbat Kam Nahi Hogi..!!
"Noshi Gilani"
مِری آنکھیں سلامت ہیں
مِرا دل میرے سینے میں دھڑکتا ہے
مُجھے محسوس ہوتا ہے
محّبت کم نہیں ہو گی
محّبت ایک وعدہ ہے
جو سچاّئی کی اُن دیکھی کسِی ساعت میں ہوتا ہے
کِسی راحت میں ہوتا ہے
یہ وعدہ شاعری بن کر مرے جذبوں میں دُھلتا ہے
مجھے محسوس ہوتا ہے
محّبت کم نہیں ہو گی
محّبت ایک موسم ہے
کہ جس میں خواب اُگتے ہیں تو خوابوں کی ہری
شاخیں
گُلابوں کو بُلاتی ہیں
انھیں خُوشبو بناتی ہیں
یہ خُوشبو جب ہماری کھڑکیوں پر دستکیں دے کر
گُزرتی ہے
مُجھے محسوس ہوتا ہے
محّبت کم نہیں ہو گی..
________________________________
No comments:
Post a Comment