Main bhool jaaun tumhein
ab yahi munasib hai,
magar bhulaana bhi chahoon
to kis tarah bhoolun...
ke tum to phir bhi haqeeqat ho
koi khwaab nahin...
yahaan to dil ka yeh aalam hai
kya kahoon kambakht!
bhula na paya woh silsila
jo tha hi nahin...
woh ek khyaal
jo awaaz tak gaya hi nahin...
woh ek baat
jo main kah nahin saka tum se...
woh ek rabt
jo hum main kabhi raha hi nahin...
mujhe hai yaad woh sab
jo kabhi hua hi nahin..!!
Jawed Akhtar
_________________________________
No comments:
Post a Comment