Sunday, December 10, 2017

Ho Jaayegi Jab Tum Se Shanasaai Zara Aur

Ho jaayegi jab tum se shanasaai zara aur,
badh jaayegi shayad meri tanhaai zara aur.

Kyoon khul gaye logon pe meri zaat ke asraar,
ai kaash ki hoti meri gahraai zara aur.

Phir haath pe zakhmon ke nishaan gin na sakoge,
ye uljhi hui dor jo suljhaai zara aur.

Tardeed toh kar sakta tha phailegi magar baat,
iss taur bhi hogi teri ruswaai zara aur.

Kyoon tark-e-taalluq bhi kiya laut bhi aaya?
achchha tha ki hota jo woh harjaai zara aur.

Hai deep teri yaad ka raushan abhi dil mein,
ye khauf hai lekin jo hawa aayi zara aur.

Ladna wahin dushman se jahaan gher sako tum,
jeetoge tabhi hogi jo paspaai zara aur.

Badh jaayenge kuchh aur lahoo bechne waale,
ho jaaye agar shahar mein mahngaai zara aur.

Ek doobti dhadkan ki sadaa log na sun lein,
kuchh der ko bajne do ye shahnaai zara aur. !!

"Aanis Moin"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...