Hawa'ein tez thi'n ye to faqat bahaane the,
Safeene yoon bhi kinaare pe kab lagaane the...
Khyaal aata hai rah rah ke laut jaane ka,
Safar se pahle humein apne ghar jalaane the...
Gumaan tha ki samajh lenge mausamo'n ka mizaaj,
Khuli jo aankh to zad pe sabhi thikaane the...
Humein bhi aaj hi karna tha intezaar us ka,
Use bhi aaj hi sab waade bhool jaane the...
Talaash jin ko hamesha buzurg karte rahe,
Na jaane kaun si duniya mein wo khazaane the...
Chalan tha sab ke ghamo'n mein shareek rahne ka,
Ajib din the ajab sar-phire zamaane the.!!
"Aashufta Changezi"
No comments:
Post a Comment