Monday, December 4, 2017

Guzar Rahe Hain Shab-o-Roz Tum Nahi Aati

* Nazm *
__________

Guzar Rahe Hain Shab-o-Roz Tum Nahi Aati..

Riyaaz-e-Zeest Hai Aazarda-e-Bahaar Abhi,
Mere Khyaal Ki Duniya Hai Sogwaar Abhi,

Jo Hasratein Tere Ghum Ki Kafeel Hain Pyaari,
Abhi Talak Meri Tanhaaiyo'n Mein Basti Hai,

Taweel Raatein Abhi Tak Taweel Hain Pyaari,
Udaas Aankhein Teri Deed Ko Tarasti Hain,

Bahaar-e-Husn Pe Paabandi-e-Jafaa Kab Tak,
Ye Aazmaaish-e-Sabr-e-Gurez'Paa Kab Tak,

Qasam Tumhaari Bahut Ghum Utha Chuka Hoon Main,

Ghalat Tha Daawa-e-Sabr-o-Shakeeb Aa Jaao,

Qaraar-e-Khaatir-e-Betaab Thak Gaya Hoon Main..!!

"Faiz Ahmad Faiz"

گُزر رہے ہیں شب و روز تم نہیں آتیں
ریاضِ زِیست ہے آزردۂ بہار ابھی
مِرے خیال کی دُنیا ہے سوگوار ابھی
جو حسرتیں تِرے غم کی کفیل ہیں پیاری
ابھی تلک مِری تنہائیوں میں بستی ہیں
طوِیل راتیں ابھی تک طوِیل ہیں پیاری
اُداس آنکھیں تِری دِید کوترستی ہیں
بہارِ حُسن پہ پابندیِ جفا کب تک؟
یہ آزمائشِ صبرِ گُریز پا کب تک؟
قسم تمھاری بہت غم اُٹھا چُکا ہُوں مَیں
غلط تھا دعوٰیِ صبرو شکیب، آجاؤ
قرارِ خاطرِ بیتاب، تھک گیا ہُوں مَیں

فیض احمدفیض

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...