Ek khwaab ajab sa dekha tha
Hum us din se bezaar piya...
Ab neend bhi Hum se rooth gai
Phir kaise ho deedaar Piya...
Ab kah daalo to behtar hai
Jo karna hai Iqraar Piya...
Dil ghum se hi phatt jaayega
Kar dena na Inkaar Piya...
In ashko'n ko in Aankho'n ki
Na rok sake Deewaar Piya...
Agar rastey seedhe saadhay hein
To chalna kyun Dushwaar Piya...
Haan Jism to apna laut aaya
Par bhatkey Rooh us paar Piya.!!
_________________________________
No comments:
Post a Comment