Friday, December 1, 2017

Chalo Ab Hum Bichhadte Hain

Chalo Ab Hum Bichhadte Hain...

Sulagti Dhoop Mein, Ghum Ki Bhari Aankho'n Ke Saawan Mein,
Kaho Tum Alwida Mujh Ko
Khuda-Haafiz Kahun Main Bhi...

Chalo Ab Hum Bichhadte Hain...

Safar Ye Mukhtasir Hoga,
Ye Hum Ko Bhi Khabar Thi
Ye Tum Bhi Jaanti Thin...

Bas Kuch Din Ka Safar Hai Ye,
Kisi Ek Mod Par Ek Din
Bichhad Jaayenge Hum Yunhi,

Tumhaari Raah Ki Zad Par
Mere Raste Khulenge,
Yahi Wo Mod Hai Jis Par
Bichhadna Hai Humein Hans Ke,

Alag Raste Pe Chalna Hai
Alag Manzil Ki Jaanib...Ab,
Chalo Ab Hum Bichhadte Hain..!!

ﭼﻠﻮ ﺍﺏ ﮨﻢ ﺑﭽﮭﮍﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﺳﻠﮕﺘﯽ ﺩﮬﻮﭖ ﻣﯿﮟ ﻏﻢ ﮐﯽ ﺑﮭﺮﯼ
ﺁﻧﮑﮭﻮﮞ ﮐﮯ ﺳﺎﻭﻥ ﻣﯿﮟ
ﮐﮩﻮ ﺗﻢ ﺍﻟﻮﺩﺍﻉ ﻣﺠﮭﮑﻮ
ﺧﺪﺍ ﺣﺎﻓﻆ ﮐﮩﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ
ﭼﻠﻮ ﺍﺏ ﮨﻢ ﺑﭽﮭﮍﺗﮯ ﮨﯿﮟ
ﺳﻔﺮ ﯾﮧ ﻣﺨﺘﺼﺮ ﮨﻮﮔﺎ,
ﯾﮧ ﮨﻤﮑﻮ ﺑﮭﯽﺧﺒﺮ ﺗﮭﯽ
ﯾﮧ ﺗﻢ ﺑﮭﯽ ﺟﺎﻧﺘﯽ ﺗﮭﯿﮟ,
ﺑﺲ ﮐﻮﺋﯽﺩﻥ ﮐﺎ ﺳﻔﺮ ﮨﮯ ﯾﮧ
ﮐﺴﯽ ﺍﮎ ﻣﻮﮌ ﭘﺮ ﺍﮎ ﺩﻥ
ﺑﭽﮭﮍ ﺟﺎﺋﯿﻨﮕﮯ ﮨﻢ ﯾﻮﻧﮩﯽ
ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﺭﺍﮦ ﮐﯽ ﺿﺪ ﭘﺮ,
ﻣﺮﮮ ﺭﺳﺘﮯﮐﮭﻠﯿﮟ ﮔﮯ
ﯾﮩﯽ ﻭﮦ ﻣﻮﮌ ﮨﮯ ﺟﺲ ﭘﺮ
ﺑﭽﮭﮍﻧﺎ ﮨﮯ ﮨﻤﯿﮟ ﮨﻨﺲ ﮐﮯ
ﺍﻟﮓ ﺭﺳﺘﮯ ﭘﮧ ﭼﻠﻨﺎ ﮨﮯ
ﺍﻟﮓ ﻣﻨﺰﻝ ﮐﯽ ﺟﺎﻧﺐ اب
ﭼﻠﻮ ﺍﺏ ﮨﻢ ﺑﭽﮭﮍﺗﮯ ﮨﯿﮟ۔۔۔۔۔۔۔۔
________________________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...