Bekhud kiye dete hain andaaz-e-hijabaana,
Aa dil main tujhay rakh loon ai jalwa-e-janaa.
Jee chahta tohfay main bhejoon main unhain Aankhain,
Darshan ka to darshan ho Nazraane ka nazraana.
Kyun aankh milaai thi, kyun aag lagaai thi,
Ab rukh ko chhupa bethay kar kay mujhay deewana.
Faizan meri qismat mein sajday hain usi dar kay,
Chhoota hai na choothay ga sang-e-dar-e-janaa.
Duniya main mujhay tu ne gar Apna banaaya hai,
Mahshar mein bhi kah dena yeh hai mera deewana.
Bas itna karam karna ai chasm-e-kareemana
Jab jaan labo'n par ho tum aaamne aa jaana..!!
No comments:
Post a Comment