Suno Humdum.....
Mujhe Har Pal Tumhari Yaad
Aati hai...
Kabhi Saans'on Ke Chalne Par..
Kabhi Dil Ke Machalne Par"
Kabhi Baarish Barasne Par..
Kabhi Aankh'en Chhalakne Par"
Kabhi Chanda Nikalne Par..
Kabhi Suraj Ke Dhalne Par"
Kabhi Shab Ke Andheron Main..
Kabhi Din Ke Saweron Main"
Kabhi Logon Ke Mele Main..
Kabhi Tanha Akele Main"
Tumhari yaad aati hai..
Tumhari yaad aati hai.!!
_____________________________
No comments:
Post a Comment