Monday, November 27, 2017

Rawayye Maar Dete Hain Ye Lahje Maar Dete Hain

Rawayye Maar Dete Hain Ye Lahjey Maar Dete Hain,
Wahi Jo Jaan Se Pyaare Hain Rishtey Maar Dete Hain,

Kabhi Barso'n Guzarne Par Kahin Bhi Kuch Nahi Hota,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai Ke Lamhey Maar Dete Hain,

Kabhi Manzil Pe Jaane Ke Nishaa'n Tak Bhi Nahi Miltey,
Jo Rasto'n Mein Bhatak Jaayen To Rastey Maar Dete Hain,

Kahaani Khatm Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pahley,
Adhoore Na-Mukammal Se Ye Qissey Maar Dete Hain,

Hazaaro'n Waar Duniya Ke Sahe Jaate Hain Hans Hans Ke,
Magar Apno'n Ke Ta'ane Aur Shikwe Maar Dete Hain,

Mujhe Aksar Ye Lagta Hai Ke Jaise Hoon Nahi Hoon Mein,
Mujhe Hone Na Hone Ke Ye Khadsey Maar Dete Hain,

Kabhi Marne Se Pahle Bhi Bashar Ko Marna Padta Hai,
Yahaan Jeene Ke Milte Hain Jo Sadme, Maar Dete Hain,

Bahut Ahsaan Jataane Se Ta'alluq Toot Jaata Hai,
Bahut Eesaar-o-Qurbaani Ke Jazbey Maar Dete Hain,

Kabhi Toofaan Ki Zad Se Bhi Safeeney Bach Nikaltey Hain,
Kabhi Saalim Safeeno'n Ko Kinaare Maar Dete Hain,

Wo Hissa Kaat Daala, Zahar Ka Khadsha Raha Jis Mein,
Jo Baaqi Rah Gaye Mujh Mein Wo Hissey Maar Dete Hain,

Jo Aankhon Mein Rahein "Nuzhat" Wahi To Khwaab Achche Hain,
Jinhein Ta'ameer Mil Jaaye Wo Sapney Maar Dete Hain..!!

-Nuzhat Abbasi-

رویے مار دیتے ہیں یہ لہجے مار دیتے ہیں
وہی جو جان سے پیارے ہیں رشتے مار دیتے ہیں

کبھی برسوں گزرنے پر کہیں بھی کچھ نہیں ہوتا
کبھی ایسا بھی ہوتا ہے کہ لمحے مار دیتے ہیں

کبھی منزل پہ جانے کے نشاں تک بھی نہیں ملتے
جو رستوں میں بھٹک جائیں تو رستے مار دیتے ہیں

کہانی ختم ہوتی ہے کبھی انجام سے پہلے
ادھورے نامکمل سے یہ قصے مار دیتے ہیں

ہزاروں وار دنیا کے سہے جاتے ہیں ہنس ہنس کے
مگر اپنوں کے طعنے اور شکوے مار دیتے ہیں

مجھے اکثر یہ لگتا ہے کہ جیسے ہوں نہیں ہوں میں
مجھے ہونے نہ ہونے کے یہ خدشے مار دیتے ہیں

کبھی مرنے سے پہلے بھی بشر کو مرنا پڑتا ہے
یہاں جینے کے ملتے ہیں جو صدمے مار دیتے ہیں

بہت احسان جتانے سے تعلق ٹوٹ جاتا ہے
بہت ایثار و قربانی کے جذبے مار دیتے ہیں

کبھی طوفاں کی زد سے بھی سفینے بچ نکلتے ہیں
کبھی سالم سفینوں کو کنارے مار دیتے ہیں

وہ حصہ کاٹ ڈالا زہر کا خدشہ رہا جس میں
جو باقی رہ گئے مجھ میں وہ حصے مار دیتے ہیں

جو آنکھوں میں رہیں نزہت وہی تو خواب اچھے ہیں
جنھیں تعبیر مل جائے وہ سپنے مار دیتے ہیں. !!

نزہت عباسی

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...