Monday, November 20, 2017

Parween Shakir ||

Doobi Hain Meri Ungliyaan Khud
Apney Lahuu Main,
Yeh Kaanch Ke Tukrro'n Ko Uthaney
Ki Sazaa Hai..!!

- Parween Shakir
_______________

Woh bachpaney ki neend to ab
khwaab ho gayi,
Kya umr thi ke raat huyi aur
so gaye..!!

- Parween Shakir
_______________

Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar
dekh sakti hoon,
Teri awaaz ka chehra, main chuu kar
dekh sakti hoon,

Abhi tere labon pe zikar fasl-e-gul
nahin aaya,
Magar ek phool khiltey apne andar
dekh sakti hoon,

Kinaara dhoondney ki chaah tak
mujh mein nahin hogi,
Main apne gird ek aisa samandar
dekh sakti hoon,

Visaal-o-hijr apne yaksaa’n hain, woh
manzar hai chahat mein,
Main aankhain band kar ke tujh ko
aksar dekh sakti hoon,

Abhi tere siwaa duniyaa bhi hai
maujood is dil main,
Main khud ko kiss tarah tere baraabar
dekh sakti hoon..!!

- Parween Shakir
___
Yaksaa’n = similar,
_______________

Ek shakhss ko sochti rahi main,
Phir aaina dekhney lagi main,
Us ki tarah apna naam le ker,
Khud ko bhi lagi nayi nayi main,
Tu mere bina reh na saka to,
Kab tere baghair jee saki main,
Aati rahey ab bhi kahin se aawaz,
Ab to tere pass aa gayi main,
Daaman tha tera ke mera maatha,
Jo daagh bhi they mita chuki main..!!

- Parween Shakir
_______________

Ghar ka darwaaza khulaa rakha hai,
Waqt mil jaye to zehmat karnaa..!!

- Parween Shakir
_______________

Chaand Meri Tarah Pighalta Raha
Neend Mein Saari Raat Chalta Raha,

Jaanay Kis Dukh Se Dil Girifta Tha
Munh Pe Baadal Ki Raakh Malta Raha,

Mein Tou Paaon Ke Kaantay Chunti Rahi
Aur Wo Raasta Badalta Raha,

Raat Galiyo'n Mein Jub Bhatakti Thi
Koi To Tha Jo Saath Chalta Raha,

Sard Rut Mein, Musaafiron Ke Liye
Pyaar, Ban Kar Alaao, Jalta Raha,

Mausami Bel Thi Mein Sookh Gayi
Wo Tanaawar Darakht, Phalta Raha,

Dil, Mere Tan Ka Phool Sa Bacha
Patharon Ke Nagar Mein Palta Raha,

Neend Hi Neend Mein Khilonay Liye
Khwaab Hi Khwaab Mein Behelta Raha,

- Parween Shakir
_______________
Theher Jaye, Magar Raat Katay
Koi Soorat Ho Ke Barsaat Katay...

Khushbuuain Mujhko Qalam Karti Gayin
Shaakh Dar Shaakh Mere Haath Katay...

Mouj-e-Gul Hai Ke Talwaar Koi
Darmiaan Se Hee Manajaat Katay,

Harf Kyun Apne Ganwayein Jaa Kar
Baat Se Pahly Jahaan Baat Katay,

Chaand ! Aa Mil Ke Manayein Ye Shab
Aaj Ki Raat Tere Saath Katay,

Pooray Insaanon Mein Ghus Aayein Hain
Sar Katay, Jism Katay, Zaat Katay..!!

- Parween Shakir
_______________

Gungunatey huye lamhon main usey,
Dhyaan mera kabhi aaya ke nahin..!!

- Parween Shakir
_______________

Woh jab se sheher-e-harabaat ko
rawaana hua,
Barahe’raast mulaqaat ko
zamana hua,
Woh sheher chorr ke jaana to
kab ka chahta tha,
Yeh naukri ka bulawaa to ik
bahaana hua,
Khudaa kare teri ankhain hamesha
hansti rahain,
Yeh aankhain jin ko kabhi dukhane ka
hausla na hua,
Kinaar-e-sehen chaman sabz bel
ke nechey,
Woh roz subah ka milna to ab
fasaana hua,
Main sochti hoon ke mujh mein kami
thi kis shayy ki,
Ke sab ka ho ke raha woh, bas ik
mera na hua,
Kisey bulaati hain aangan ki champayi
shaakhain,
Ke woh ab apne naye ghar mein bhi
purana hua,
Dhanak ke rang main saadi to rang li
hain mene,
Aur ab yeh dukh, ke pehen kar kise
dikhana hua,
Main apne kaano’n main bele ke phool
kyon na pehnoon,
Zabaan-e-rang se kiss ko mujhe
bulana hua.!!

- Parween Shakir
_______________

Humain Khabar Hai, Hawaa Ka
Mizaaj Rakhte Ho,
Magar Yeh Kya, Ke Zara Der Ko
Rukey Bhi Nahin..!!

- Parween Shakir
_______________

Jab aankh mein shaam utrey,
Palkon pe shafaq phooley,
Kajal ki tarah meri,
Aankh ko dhank chhoo’ley,
Us waqat koi uss ko,
Aankh se meri dekhey,
Palkon se meri choomey..!!

- Parween Shakir
_______________

Kaisay Chhodein Usey Tanhaai Par
Harf Aata Hai Maseehaai Par,

Uss Ki Shohrat Bhi Tou Phaili Har Suu
Pyaar Aanay Laga Saudaai Par,

Theherti Hi Nahin Aankhain Jaanan
Teri Tasweer Ki Zebaai Par,

Rashk Aaya Hai Bahut Husn Ko Bhi
Qaamat-e-Ishq Ki Ra-anaai Par,

Satah Se Dekh Ke Andaazay Lagaayen
Aankh Jaati Hi Nahi Gehraai Par,

Zikr Aayega Jahaan Bhanwaron Ka
Baat Hogi Meri Harjaai Ki,
Khud Ko Khushbuu Ke Hawaalay Kar Dein
Phool Ki Tarz-e-Paziraai Par..!!

- Parween Shakir
_______________

Na Janay Kaun Sa Aasaib Dil Mein
Basta Hai,
Ke Jo Bhi Thehra Woh Aakhir
Makaan Chhod Gaya…!!

- Parween Shakir
_______________

Rung, Khushbuu Mein Agar Hal
Ho Jaye,
Vasl Ka Khwaab Mukammal
Ho Jaye...
Chaand Ka Chooma Hua Surkh
Gulaab
Teetri Dekhay To Paagal
Ho Jaye...
Mein Andheron Ko Ujaaloon
Aisay,
Teergi Aankh Ka Kaajal
Ho Jaye...
Dosh Per Baarishain Le Ke
Ghoomain,
Mein Hawa Aur Wo Baadal
Ho Jaye...
Narm Sabzay Per Zara Jhuk
Ke Chalay
Shabnami Raat Ka Aanchal
Ho Jaye...
Umr Bhar Thaamay Rahay
Khushbuu Ko,
Phool Ka Haath Magar Shal
Ho Jaye...
Chidiya Patton Mein Simat
Kar Soye
Ped Yun Phailay Ke Jangal
Ho Jaye...!!

- Parween Shakir
___
Hal = solution, mix
Teetri = female patridge
Teergi = darkness, gloom
Dosh = fault, blame, wrong, sin
shoulder, last night
Shal = insensitive

_______________

Shajar Ke Haath Mein Ek Zard Phool
Baaqi Hai,
Abhi Libaas-e-Musaafir Pe Dhool
Baaqi Hai,
Mere Qabeelay Mein Niklay Subhi
Farokhtni,
Na Koi Waada Na Koi Usool
Baaqi Hai,
Duroon-e-Sheher Gulaabon Ki Baar
Khatam Hui,
Kinaaray Sheher Puraani Babool
Baaqi Hai,
Hawa-e-Sheher-e-Sitam Ko Abhi
Pata Na Chalay,
Mere Dupattay Mein Ek Surkh Phool
Baaqi Hai.!!

- Parween Shakir
_______________

Ghar Ke Mitnay Ka Gham To Hota Hai,
Apne Malbay Pe Kon Sota Hai.. ??

Khushbuein Ghair Tan Se Aati Hain,
Baazuoun Mein Mujhe Samota Hai...

Mere Dil ! Aansuoun Se Haath Utha,
Kaisi Baarish Se Zakham Dhota Hai...

Shaam Hotay Hee Meri Palkon Per,
Kaun Ye Haar Sa Pirota Hai...

Raat Ke Bekaraa'n Andheray Mein,
Koi Jugnu Ki Neend Sota Hai...!!

- Parween Shakir
_______________

Nam Hain Palkain Teri Ae Mouj-e-Hawa,
Raat Ke Saath,
Kya Tujhey Bhee Koi Yaad Aata Hai
Barsaat Ke Saath ?
Roothnay Aur Manaanay Ki Hadain
Milnay Lagee'n
Chasham Poshi Ke Saleeqay Thay,
Shikayaat Ke Saath,
Tujh Ko Kho Kar Bhee Rahuun
Khalwat-e-Jaa'n Mein Teri,
Jeet Paayi Hai Mohabbat Ne Ajab
Maat Ke Saath,
Neend Laata Huaa, Phir Aankh Ko Dukh
Deta Huaa,
Tajrabay Dono'n Hain Wabasta Tere
Haath Ke Saath,
Kubhi Tanhaai Se Mehroom Na Rakha
Mujh Ko,
Dost Hamdard Rahay Kitnay, Meri
Zaat Ke Saath.!!

- Parween Shakir
___
Mauj-e-hawaa = wave of breeze
Chashm-poshi = connivance, pretending not to see, over-looking
Khalwat-e-Jaa'n = solitude of self; life
Tajrabey = experiences
Wabasta = bound together, related, connected
Zaat = personality, being/ caste, race,
Mahroom = deprived of, debarred, excluded, refused,
_______________

Andheri raaton ke tanhaa
musafiron ke liye,
Diyaa jalata hua koi saaz-o-rakht
na tha.!!

- Parween Shakir
_______________

Dua To Jaaney Kaun Si Thi,
Zehen Mein Nahin,
Bas Itna Yaad Hai,
Ke Do Hatheliyan Mili Huyi Thi,
Jin Mein Ek Meri Thi,
Aur Ek Tumhari..!!

- Parween Shakir
_______________

Sahaab Tha Ke Sitaara, Gurez-Paa
Hee Laga,
Wo Apni Zaat Ke Har Rang Mein
Hawa Hi Laga...
Mein Aisay Shakhs Ki Masoomiyat
Pe Kya Likhuun..?.
Jo Mujh Ko Apni Khataaon Mein Bhi
Bhalaa Hi Laga...
Zabaa'n Se Chup Hai Magar Aankh
Baat Karti Hai,
Nazar Uthaayi Hai Jub Bhee To
Bolta Hi Laga...
Jo Khwaab Deney Pe Qaadir Tha,
Meri Nazron Mein,
Azaab Detey Huye Bhi Mujhe Khudaa
Hi Laga...
Na Mere Lutf Pe Hairaan Hai Na
Apni Uljhan Par,
Mujhe Ye Shakhs To Har Shakhs Se
Judaa Hi Laga..!!

- Parween Shakir
___
Sahaab = A Cloud,
Gurez-Paa = Evasive,
_______________

Dastaras Se Apni, Baahar Ho Gaye
Jub Se Hum Un Ko Mayassar Ho Gaye,

Hum Jo Kehlaaye Tuluu-e-Mahtaab
Doobtay Sooraj Ka Manzar Ho Gaye,

Shahar-e-Khubaa'n Ka Yehi Dastoor Hai
Mud Ke Dekha Aur Patthar Ho Gaye,

Be-Watan Kehlaaye Apne Desh Mein
Apne Ghar Mein Reh Kar Be-Ghar Ho Gaye,

Sukh Teri Meraas Thay, Tujh Ko Milay
Dukh Hamaaray Thay, Muqaddar Ho Gaye,

Wo Saraab Utraa Rag-o-Pe Mein Ke Hum
Khud Farebi Mein Samandar Ho Gaye.!!

- Parween Shakir
___
Shaher-e-Khubaa'n = beauties, sweetheart, goodness, excellence, worth,
Mayassar = available,
Saraab = illusion,
_______________

Ajab Makaa'n Hai Ke Jis Mein Makee'n
Nahee Aata
Hudood-e-Sheher Mein Kya Dil Kaheen
Nahee Aata,

Mein Jis Ke Ishq Mein Ghar Baar
Chhod Baithi Thi
Yehi Wo Shakhs Hai Mujhko Yaqeen
Nahee Aata,

Maza Hi Sheyr Sunaanay Ka Kuch
Nahi Jub Tak
Qaseedah-Go Yun Mein Wo Nukta Chee'n
Nahee Aata,

FIshaar Jaa'n Ke Bahut Hain Agar
Nazar Aayein
Har Ek Zalzala Zer-e-Zameen
Nahee Aata,

Bharam Hai Mehr-o-Maa-o-Najam Ka Bhi
Bas Jab Tak
Muqaabil In Ke Wo Roshan Jabee'n
Nahee Aata..!!

- Parween Shakir
_______________

Justajuu Khoye Huyon Ki Umr Bhar
Kartay Rahay,
Chaand Key Humraah Hum Har Shab
Safar Kartay Rahay...
Raaston Ka Ilm Tha Na Hum Ko
Simton Ki Khabar,
Sheher-e-Na-Maaloom Ki Chaahat
Magar Kartay Rahay...
Hum Ne Khud Se Bhi Chhupaya Hai
Aur Saaray Sheher Ko,
Tere Jaanay Ki Khabar Deewaar-o-Dar
Kartay Rahay...
Wo Na Aayega Humain Maaloom Tha,
Uss Shaam Bhi,
Intezaar Uss Ka Magar Kuch Soch Kar
Kartay Rahay...
Aaj Aaya Hai Hamain Bhi Unn Udaano'n Ka Khayaal,
Jin Ko Tere Zu'am Mein, Be-Baal-o-Par
Kartay Rahay..!!

- Parween Shakir
___
Zu'am = arrogance/ conceit
Be-Baal-o-Par = featherless, without wings, helpless,
_______________

Usi Din Ghar Nahi Aata Ke Jab
Aane Ko Kehta Hai,
Magar Kya Roothna Usse Wo Apni
Dhun Mein Rehta Hai,

Madaarat-E-Alam Mein Wo Nahi
Shirkat Ka Kaail,
Na Apne Dukh Batata Hai Na Mere
Ranj Sehta Hai,

Lab-E-Khamoosh, Chashm-E-Khushk Kya
Samjhayenge Tujhko ?
Jo Barish Dil Mein Hoti Hai Jo Dariya
Dil Mein Behta Hai,

Mujhe Tujhse Juda Rakhta Hai Aur
Dukh Tak Nahi Hota,
Mere Andar Tere Jaisa Ye Aakhir
Kaun Rehta Hai ?

Khayal-E-Yaar Abhi Roshan, Abhi
Nazro'n Se Ojhal Hai,
Abhi Ye Reshmee'n Dariya Pahaado'n
Mein Hi Behta Hai…!

- Parween Shakir
_______________

Shahar ko teri justaju hai bahut,
In dino'n hum pe guftagu hai bahut,

Jab se parwaaz ke shareek miley,
Ghar bananey ki aarzoo hai bahut,

Dard reh reh ke sar uthaata hai,
Kabhi kam ho gaya, Kabhi hai bahut,

Kuch to woh yaad bhi bahut aaya,
Kuch in ankhon mein bhi lahu hai bahut,

Peeney waali aankh hai darkaar,
Aankh ko chaand ka sabuu hai bahut..!!

- Parween Shakir
_______________

Dasht-o-Darya Se Guzarna Ho Ke
Ghar Mein Rehna
Ab To Har Haal Mein Hai Hum Ko
Safar Mein Rehna
Dil Ko Har Pal Kisi Jaadu Ke
Asar Mein Rehna
Khud Se Niklay To Kisi Aur Ke
Dar Mein Rehna
Sheher-e-Gham ! Dekh, Teri Aab-o-Hawaa Khushk Na Ho
Raas Aata Hai Usey Deeda-e-Tar
Mein Rehna
Faislay Saaray Usi Ke Hain
Hamaari Baabat
Ikhtiyaar Apna Bas Itna KeKhabar
Mein Rehna
Tootna Yun To Muqaddar Hai Magar
Kuch Lamhay
Phool Ki Tarah Mayassar Ho Shajar
Mein Rehna
Taayir-e-Jaan Ke Guzarnay Se Badaa
Saaneha Hai
Shoq-e-Parwaaz Ka Tootay Huye
Par Mein Rehna.!!

- Parween Shakir
___
Saaneha = mishap, an unlucky accident,

_______________

Bajaa Ke Aankh Mein Neendon Ke
Silsilay Bhee Nahee,
Shikast-e-Khwaab Ke Ab Mujh Mei
Hauslay Bhee Nahee,

Nahee Nahee ! Ye Khabar Dushmanon
Ne Di Hogi,
Wo Aaye, Aa Ke Chalay Bhee Gaye !
Milay Bhee Nahee,
Ye Kaun Log Andheron Ki Baat
Kartay Hain ?
Abhee To Chaand Teri Yaad Ke
Dhalay Bhee Nahee,
Abhee Se Mere Raffugar Ke Haath
Thaknay Lagay
Abhee To Chaak Mere Zakham Ke
Silay Bhee Nahee,
Khafaa Agarchey Hamesha Huye
Magar Ab Ke,
Wo Barhami Hai Ke Hum Se Unhain
Gilay Bhee Nahee.!!

- Parween Shakir
___
Baja = just/ appropriate,
Shikast-e-Khwaab = defeat of the dream, breaking of the dream,
Rafugar = darner,
Agarche = although,
Chaak = slit/ torn/ cut,
Barhami = Disorder, Scattering, Anger, Injustice,
_______________

Gawaahi Kaisay Toot’ti, Mu'aamla
Khuda Ka Tha,
Mera Aur Uska Raabta To Haath Aur
Dua Ka Tha...
Gulaab Qeemat-E-Shaguft, Shaam Tak
Chuka Sa Tha,
Ada Wo Dhoop Ko Hua, Jo Qarz Bhi
Saba Ka Tha...
Bikhar Gaya Hai Phool To Hum Hi Se Pooch Gachh Hui,
Hisaab Baghbaan Se Hai, Kiya Dharaa
Hawa Ka Tha,
Lahoo-Chashida Haath Us Ne Choom
Kar Dikha Diya,
Jaza Wahaan Mili Jahaan Marhala
Saza Ka Tha,
Jo Barisho'n Se Qabl Apna Rizq Ghar
Mein Bhar Chuka,
Woh Sheher-e-Mor Na Tha, Doorbi'n
Balaa Ka Tha..!!

- Parween Shakir
___
Qeemat-E-Shaguft = price; cost of blooming,
Saba = a gentle breeze, / zephyr,
Lahoo-chasheeda = blood-soaked,
Jaza = reward,
Marhala = a stage, an inn, a difficulty,
Qabl = previous (to), before,
Sahar-e-mor = city of peacocks,
Doorbi'n = binoculars,
_______________

Charaagh-e-Raah Bujha Kya, Ke
Rehnumaa Bhi Gaya
Hawa Ke Saath Musaafir Ka
Naqsh-e-Paa Bhee Gaya,

Mein Phool Chunti Rahee Aur Mujhey
Khabar Na Hui,
Wo Shakhs Aa Ke Mere Sheher Se
Chala Bhee Gaya

Bahut Azeez Sahee Usko Meri
Dildaari,
Magar Ye Hai Ke Kubhi Dil Mera
Dukha Bhee Gaya

Ab Un Dareechon Pe Gehray Dabeez
Parday Hain,
Wo Taank Jhaank Ka Masoom
Silsila Bhee Gaya,

Sab Aaye Meri Ayaadat Ko, Wo Bhee
Aaya Tha,
Jo Sab Gaye To Mera Dard Aashna
Bhee Gaya,

Ye Ghurbatain Meri Aankhon Mein
Kaisi Utri Hain ?
Ke Khwaab Bhee Mere Rukhsat Hain, Ratjaga Bhee Gaya.!!

- Parween Shakir
___
Naqsh-e-paa = footprints, tracks,
Dabeez = thick, strong, fat,
Ayaadat = to enquire about well-being from a patient,
Ghurbat = poverty,
_______________

Kya Baat Hai Jis Ka Gham Bahut Hai ?
Kuch Din Se Yeh Aankh Nam Bahut Hai,

Mil Leta Hai Guftugu Ki Had Tak
Itna Hee Tera Karam Bahut Hai,

Ghar Aap Hi Jagmaga Uthe Ga
Dehleez Pe Ek Qadam Bohat Hai,

Mil Jaye Agar Teri Rafaaqat
Mujh Ko To Yahi Janam Bahut Hai,

Kya Shab Se Humein Sawaal Karna ?
Hona Tera Subah Dam Bahut Hai,

Kyon Bujhne Lage Chiraagh Mere ?
Ab Ke To Hawa Bhi Kam Bahut Hai,

Chup Kyon Tujhey Lag Gayi Hai Parveen ?
Suntey They Ke Tujh Mein Ram Bahut Hai,

- Parween Shakir
_______________

Khyaal-o-Khwaab Huaa Barg-o- Baar
Ka Mausam,
Bichharh GGya Teri Soorat, Bahaar
Ka Mausam,
Kai Ruto'n Se Mere Neem Waa Dareechon
Mein,
Thaher Gaya Hai Tere Intezaar
Ka Mausam,
Woh Narm Lehjey Mein Kuch To kahey
K Laot Aaye,
Samaa'aton Ki Zameen Par Bahaar
Ka Mausam,
Payaam Aaya Hai Phir Ek Saro Qamat
Ka,
Mere Wajood Ko Khenche Hai Daar
ka Mausam,
Woh Aag Hai K Meri Poor Poore
Jalti Hai
Mere Badan Ko Mila Hai Chanaar
Ka Mausam,
Rafaqato'n Kay Nai Khwaab Khushnuma
Haim Magar,
Guzar Chuka Hai Tere Aitbaar Ka
Mausam,
Hawaa Chali To Nai Baarishen Bhi
Saath Aayi'n,
Zameen Kay Chehrey Pe Aaya Hai
Nikhaar Ka Mausam,
Woh Mera Naam Liye Jaaye Aur Main
Uss Ka Naam,
Lahu Mein Goojh Raha Hai Pukaar K
Mausam,
Qadam Rakhey Meri Khushbu K Ghar
Ko Lauta Aaye,
Koi Bataaye Mujhe Koo-Yaar Ka
Mausam,
Woh Roz Aa ke Mujhey Apna Pyaa
Pehnaaye,
Nera Garoor Hai Bele Kay Haar
Ka Mausam,
Tere Tareeq-e-Muhabbat Pe Baar Ha
Socha,
Yeh Jabar Tha Kay Tere Ikhtiyaar
Ka Mausam..!!

- Parween Shakir
_______________

Yeh Chaand Aur Yeh Abar-e-Rawaan
Guzarta Rahe,
Jamaal-e-Shaam Teh-e-Asmaan
Guzarta Rahe,
Bhara Rahe Teri Khushbu Se Tera
Sehn-e-Chaman,
Bas Ek Mausam-e-Ambar
Fishaa'n Guzarta Rahe,
Sama'aten Tere Lehjey Se Phool
Chunti Rahein,
Dilon K Saaz Pe Tu Naghma-Khwaa'n
Guzarta Rahe,
Khuda Kare Teri Aankhen Humesha
Hansti Rahen,
Diyaar-e-Waqt Se Tu Shaadmaan
Guzarta Rahe,
Main Tujh Ko Dekh Na Paaon To Kuch
Malaal Nahi,
Kaheen Bhi Ho Tu, Sitara Nishaan
Guzarta Rahe,
Main Maangti Hoon Teri Zindgi
Qiyamat Tak,
Hawaa Ki Tarah Se Tu Jawedaan
Guzarta Rahe,
Mera Sitara Kaheen Toot Kar
Bekhar Jaaye,
Falak Se Tera Khat-e- Kehkashaan
Guzarta Rahe,
Main Teri Chaaon Mein Kuch Der
Baith Loon Aur Phir,
Tamaam Raasta Be Saaiebaan
Guzarta Rahe,
Yeh Aag Mujh Ko Humesha Kiye
Rahe Roshan,
Mere Wajood Se Tu Shola Saan
Guzarta Rahe,
Main Tujh Ko Dekh Sakoon Aakhri
Basaarat Tak,
Nazar Kay Saamne Bass Ek Samaan
Guzarta Rahe,
Humaara Naam Kaheen To Likha
Huaa Hoga,
Mah-o-Najoom Se Yeh Khakdaan
Guzarta Rahe,
Main Tera Saath Na De Paaon Phir
Bhi Tera Safar,
Gulaab-o-Khawab Kay Hi Darmiyaan
Guzarta Rahe,
Main Tere Seene Pe Sarr Rakh Ke
Waqt Bhool Gayi,
Khiyaal-e-Tezi Umar-e-Rawaan
Guzarta Rahe.!!

- Parween Shakir
_______________

Chaara-Saazon Ki Aziyat
Nahi Dekhi Jaati,
Tere Bimaar Ki Haalat
Nahi Dekhi Jaati,
Deney Waalay Ki Mashiyyat Pe Hai
Sab Kuch Mauqoof,
Maangnay Waalay Ki Haajat
Nahi Dekhi Jaati,
Din Bahal Jaata Hai Lekin Tere
Deewano'n Ki,
Shaam Hoti Hai To Wahshat
Nahi Dekhi Jaati,
Tamkanat Se Tujhay Rukhsat To
Kiya Hai Lekin,
Hum Se In Aankhon Ki Hasrat
Nahi Dekhi Jaati,
Kaun Utraa Hai Ye Aafaaq Ki
Pehnaai Mein ?
Aaina Khaanay Ki Hairat
Nahi Dekhi Jaati..!!

- Parween Shakir
___
Chaara-saaz = healer, doctor, physician,
Aziyat = trouble, torment, difficulty,
Mashiyyat = will, pleasure, wish
god's will,
Mauqoof = depend upon,
Haajat = need, necessity, requirement,
Wahshat = fear, frenzy,
Tamkanat = dignity, gravity, majesty, honour,
Aafaaq = horizons, the world,
Pehnaai = make wear,

_______________

Aaney wali ruton ke anchal mein
Koi saa’at saeed kya hogi,

Raat ke waqt rang kya pehnoon
Roshni ki kuleed kya hogi,

Jab ke baadal ki ott laazim ho
Jaanti hoon, ke deed kya hogi,

Zard mausam ki khushk tehni se
Konplon ki ummeed kya hogi,

Chaand ke koi pass bhi sunaney ko
Ab ke koi naweed kya hogi,

Gul na hoga jashne-e-khushbu kya
Tum na hoge to eid kya hogi,

- Parween Shakir
_______________

Duaa ka toota huaa harf sard aah mai hai,

Teri judaai ka manzar abhi nigaah mai hai,

Tere badalney ke baa-vasf tujh ko chaaha hai,

Ye aitiraaf bhi shaamil mere gunaah mai hai,

Azaab dega to phir mujh ko khwaab bhi dega,

Main mutmaee'n hoon mera dil teri panaah mai hai,

Bikhar chuka hai magar muskura ke milta hai,

Wo rakh rakhaao abhi mere kaj-kulaah mai hai,

Jisey bahaar ke mehmaan khaali chhorh gaye,

Wo ek makaan abhi tak makee'n ki chaah mai hai,

Yahi wo din the jab ek doosrey ko paaya tha,

Humaari saal-girah Theek ab ke maah mai hai,

Main bach bhi jaaun to tanhaai maar Daalegi,

Mere qabeeley ka har fard qatl-gaah mai hai..!!

- Parween Shakir
___
Baa-vasf = with qualities,
Aitiraaf = Admission, Agree, Confession,
Kaj-kulaah = cap worn at an angle,
Makee'n = master of the house, resident, inhabitant,
Fard = individual, member, unique,
Qatl-gaah = a place of slaughter,
_______________

Ek hunar tha kamaal tha kya tha,
Mujh mai tera jamaal tha kya tha,

Tere jaane pe ab ke kuchh na kaha,
Dil mai darr tha malaal tha kya tha,

Barq ne mujh ko kar diya raushan,
Tera aks-e-jalaal tha kya tha,

Hum tak aaya tu bahr-e-lutf-o-karam,
Tera waqt-e-zawaal tha kya tha,

Jis ne tah se mujhe uchhaal diya,
Doobney ka khayaal tha kya tha,

Jis pe dil saare ahd bhool gaya,
Bhoolne ka sawaal tha kya tha,

Titliyaan they hum aur qazaa ke paas,
Surkh phoolon ka jaal tha kya tha..!!

- Parween Shakir
___
Barq = lightning, electricity,
Aks-e-jalaal = reflection of awefulness,
Bahr-e-lutf-o-karam = for kindness and reward,
Waqt-e-zawaal = time for decline,
Ahd = time, reign, period, promise
युग, काल, समय, प्रतिज्ञा, वचन, निभाना, पूरा करना, प्रण,
Qazaa = death/ fate/ lapse,

________________

Kuchh khabar laayi to hai
baad-e-bahaari us ki,

Shaayad is raah se guzregi
sawaari us ki,

Mera chehra hai faqat us ki
nazar se raushan,

Aur baaqi jo hai mazmoon-nigaari
us ki,

Aankh utha kar jo rawaa-daar
na tha dekhne ka,

Wahi dil karta hai ab
minnat-o-zaari us ki,

Raat ki aankh mein hain halke
gulaabi dorey,

Neend se palkein hui jaati hain
bhaari us ki,

Us ke darbaar mein haazir hua
ye dil aur phir,

Dekhne waali thi kuchh
kaar-guzaari us ki,

Aaj to us pe thaharti hi na thi
aankh zara,

Us ke jaate hi nazar maine
utaari us ki,

Arsa-e-khwaab mein rahna hai ke
laut aana hai,

Faisla karne ki is baar hai
baari us ki..!!

- Parween Shakir
___

Baad-e-bahaari = spring-time breeze,
Mazmoon-nigaari = essay writing,
Rawaadaar = tolerant, indulgent,
Minnat = requestmake humble and earnest entreaty or petition, to plead, to beg,
Zaari = crying, wailing, lamenting,
Arsa-e-khwaab = time of dream,

_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...