Mohabbat Hi Mohabbat Hai
Main Jis Se Mil Ke Aaya Hoon,
Bahut Hi Khoobsurat Hai
Main Jis Se Mil Ke Aaya Hoon,
Usey Milne Ki Khwaahish Mein
Main Jaa'n Se Ja Bhi Sakta Tha,
Usey Phir Bhi Shikaayat Hai
Main Jis Se Mil Ke Aaya Hoon,
Main Us Ko Dekh Leta Hoon To
Sab Kuch Dekh Leta Hoon
Wahi Meri Bisaarat Hai
Main Jis Se Mil Ke Aaya Hoon,
Kahaani Aur Hai Koi Magar
Unwaa'n Ye Likkha Hai
"Humaari Ek Qismat Hai"
Main Jis Se Mil Ke Aaya Hoon,
Wo Khushbu Hai Ke Titli Hai
Ke Jhounka Hai Ke Jo Bhi Hai
Mujhe Us Se Mohabbat Hai
Main Jis Se Mil Ke Aaya Hoon,
Kabhi Minnat Se Maangega
Kabhi Mannat Se Maangega
Usey Meri Zaroorat Hai
Main Jis Se Mil Ke Aaya Hoon,
Khushi Us Ke Sabab Se Hai
Usi Ko Maanga Rab Se Hai
Wo Meri Jaa-e-Raahat Hai
Main Jis Se Mil Ke Aaya Hoon,
Samandar Ho, Kinaara Ho
Usey Mera Sahaara Ho
Ye Mere Dil Ki Chaahat Hai
Main Jis Se Mil Ke Aaya Hoon..!!
( Qamar Riyaaz)
مَحبّت ہی محبّت ہے ' مَیں جس سے مِل کے آیا ھوں
بہت ہی خوب صورت ہے ' مَیں جس سے مِل کے آیا ہُوں
اُسے مِلنے کی خواہش میں -- مَیں جاں سے جا بھی سکتا تھا
اسے پھر بھی شکائت ہے میَں جس سے مِل کے آیا ہوں !!
میں اس کو دیکھ لیتا ہُوں تو سب کچھ دیکھ لیتا ہوں
وہی میری بصارت ہے' میں جس سے مِل کے آیا ہوں
کہانی اور ہے کوئی ' مگر عنواں یہ لکھّا ہے
" ہماری ایک قسمت ہے" میں جس سے مِل کے آیا ہُوں
وہ خوش بُو ہے کہ تتلی ہے کہ جھونکا ہے کہ جو بھی ہے
مجھے اُس سے محبّت ہے' میں جس سے مِل کے آیا ہُوں
کبھی مِنّت سے مانگے گا ' کبھی مَنّت سے مانگے گا
اُسے میری ضرورت ہے' میں جس سے مِل کے آیا ہوں
خوشی اُس کے سبب سے ہے' اُسی کو مانگا رب سے ہے
وہ میری جان راحت ہے' میں جس سے مِل کے آیا ہُوں
سمُندر ہو' کنارہ ہو ' ُاسے میرا سہارا ہو
یہ میرے دل کی چاہت ہے' میں جس سے مِل کے آیا ہُوں...!!
( قمرؔ ریاض )
No comments:
Post a Comment