Saturday, November 25, 2017

Kabhi Intezaar-e-lamha Sar-e-shaam Rakh Diya Hai

Kabhi Intezaar-e-lamha.....Sar-e-shaam
Rakh Diya Hai...
Kabhi Dil Utha Ke Hum Ne Tere Naam
Rakh Diya Hai...

Kabhi Jism-o-Jaa'n Jala Ke Teri
Rah-guzar Saja Di...
Kabhi Dil Charaagh Jaisa Lab-e-baam
Rakh Diya Hai...

Tere Rukh Ki Chaandni Ka Kabhi Naam
Subah Rakha...
Teri Chashm-e-sur Magee'n Ka, Kabhi Shaam
Rakh Diya Hai...

Mere Sheyr Sheyr Mein Hain, Tere
Khadd-o-khaal Raushan...
Tera Naqsh Naqsh Hum Ne Sar-e-aam
Rakh Diya Hai...

Tujhe Saans Saans Bunna, Yahi Mashghala
Hai Dil Ka...
Yahi Bandagi Chuni Hai, Yahi Kaam
Rakh Diya Hai...!!!

کبھی انتظار لمحہ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ سرِ شام رکھ دیا ہے
کبھی دل اٹھا کے ہم نے ، ترے نام رکھ دیا ہے
کبھی جسم و جاں جلا کے تری رہ گزر سجا دی
کبھی دل چراغ جیسا ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ لبِ بام رکھ دیا
ہےترے رُخ کی چاندنی کا ، کبھی نام صبح رکھا
تری چشمِ سُر مگیں کا ، کبھی شام رکھ دیا ہے
مرے شعر شعر میں ہیں ترے خدّ و خال روشن
ترا نقش نقش ہم نے ۔۔۔۔۔۔۔۔۔ سرِ عام رکھ دیا ہے
تجھے سانس سانس بُننا ، یہی مشغلہ ہے دل کا
یہی بندگی چُنی ہے ۔۔۔۔۔۔۔۔ یہی کام رکھ دیا ہے.....!!

_______________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...