Tuesday, November 28, 2017

Haatho'n Ki Lakeero'n Par

Haatho'n Ki Lakeero'n Par
Guftugoo Jo Chal Nikli,
Tab Udaas Lahjey Mein
Mainey Us Se Ye Kaha,
Nazar Mujh Ko Nahi Aata
Tumhaara Naam Bilkul Bhi
In Uljhi Lakeero'n Mein
Tab Palat Kar Wo Boli
Lakeerein Jhooth Bolti Hain
Tumharey Saath Hoon Main To
Tumharey Paas Hoon Main To
Zaroori To Nahi Hota
Muqaddar Ho Lakeero'n Mein
Ye Bewafa Lakeerein Hain
Lakeerein Bas Lakeerein Hain
Aitbaar Mat Karna
Bewafa Lakeero'n Par
Magar Wo Jhooth Kahti Thi
Nateeja Ye
Ke Us Ka Saath
Nahi Baaqi Raha, Lekin
Lakeerein Ab Bhi Baaqi Hain
Lakeerein Ab Bhi Baaqi Hain..!!

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...