Main Tujhe Bhool Gayi, Ye Bhi Nahi Hai Lekin,
Main Tujhe Yaad Bhi Har Waqt Nahi Kar Sakti,
Zindagi Kitni Hama-geer Hai Kitni Pur-shor,
Sirf Ashko'n Se Hi Daaman To Nahi Bhar Sakti,
Kaise Fitrat Ke Taqaazo'n Se Kinaara Kar Loo'n,
Kis Tarah Talkhi-e-zahraab Gawaara Kar Loo'n,
Zindagi Kitni Hama-geer Hai Kitni Pur-shor,
Main Mohabbat Ke Taqaaze Bhi Samajhti Hoon Magar,
Main Haqeeqat Ke Ishaare Bhi To Pahchanti Hoon,
Main Teri Yaad Mein Khud Apne Se Ghaafil Ho Jaaun,
Ma-siwa Apne, Kisi Aur Ko Bhi Jaanti Hoon,
Zindagi Sirf Taraana Hi Taraana To Nahi,
Kuch Haqeeqat Bhi Hai Ye Mahaz Fasaana To Nahi,
Main Haqeeqat Ke Ishaare Bhi To Pahchanti Hoon,
Sheyr o Naghma Mein Guzarti Huyi Rangee'n Raatein,
Kaun Hoga Jise Naghmaat Ka Ahsaas Nahi,
Talkhi-e-ghum Bhi Ek Thhos Haqeeqat Hai Magar,
Kaun Hai Jis Ko Haqeeqat Ka Zara Paas Nahi,
Ye Dhadakte Huye Dil Aur Ye Khanakte Huye Saaz,
Ye Mahakte Huye Naghmaat, Ye Bajti Huyi Aawaaz,
Kaun Hoga Jise Naghmaat Ka Ahsaas Nahi,
Zindagi Kitni Hama-geer Hai Kitni Pur-shor,
Aur Is Shor Mein Naghmo'n Ki Haqeeqat Kitni,
Main Tujhe Yaad Kiye Jaaun Ye Mumkin Hai Magar,
Is Hama-geer Mein Ek Yaad Ki Fursat Kitni,
Kitne Dilchasp Hain Ulfat Ke Taraane Lekin,
Kitne Rangee'n Hain Ye Saada Se Fasaane Lekin,
Is Hama-geer Mein In Sab Ki Haqeeqat Kitni..!!
_____________________________________
Hama-geer = all comprising,
___
میں تجھے بھول گئی، یہ بھی نہیں ہے لیکن
میں تجھے یاد بھی ہر وقت نہیں کر سکتی
زندگی کتنی ہمہ گیر ہے، کتنی پُر شور
صرف اشکوں سے ہی دامن تو بھر نہیں سکتی
کیسے فطرت کے تقاضوں سے کنارا کر لوں؟
کس طرح تلخئ زہراب گوارا کرلوں
زندگی کتنی ہمہ گیر ہے، کتنی پُر شور
میں محبت کے تقاضے بھی سمجھتی ہوں مگر
میں حقیقت کے اشارے بھی تو پہچانتی ہوں
میں تری یاد میں خود اپنے سے غافل ہو جاؤں
ما سوا اپنے، کسی اور کو بھی جانتی ہوں
زندگی صرف ترانہ ہی ترانہ تو نہیں
کچھ حقیقت بھی ہے یہ محض فسانہ تو نہیں
میں حقیقت کے اشارے بھی تو پہچانتی ہوں
شعر و نغمہ میں گزرتی ہوئی رنگیں راتیں
کون ہوگا جسے نغمات کا احساس نہیں
تلخئی غم بھی تو اک ٹھوس حقیقت ہے مگر
کون ہے جس کو حقیقت کا ذرا پاس نہیں؟
یہ دھڑکتے ہوئے دل اور یہ کھنکتے ہوئے ساز
یہ مہکتے ہوئے نغمات، یہ بجتی آواز
کون ہوگا جسے نغمات کا احساس نہیں
زندگی کتنی ہمہ گیر ہے، کتنی پُر شور
اور اس شور میں نغموں کی حقیقت کتنی
میں تجھے یاد کئے جاؤں یہ ممکن ہے مگر
اس ہمہ گیری میں اک یاد کی فرصت کتنی؟
کتنے دلچسپ ہیں الفت کے ترانے لیکن
کتنے رنگیں ہیں یہ سادہ سے فسانے لیکن
اس ہمہ گیری میں ان سب کی حقیقت کتنی؟
_______________________________
No comments:
Post a Comment