Chalo Wo Ishq Nahi, Chahney Ki
Aadat Hai,
Par Kya Karein, Humein Doobney Ki
Aadat Hai...
Tu Apni Sheesha-gari Ka Hunar Na
Kar Zaaya,
Mai Aaina Hun, Mujhey Tootney Ki
Aadat Hai...
Mai Kya Kahun Ke Mujhey Sabr
Kyun Nahi Aata,
Mai Kya Karun Ke Tujhey Dekhney Ki
Aadat Hai...
Terey Naseeb Mai Ae Dil...Sada Ki
Mahroomi,
Na Wo Sakhi, Na Tujhey Maangnay Ki
Aadat Hai...
Wisaal Mai Bhi Wahi Hai Firaaq Ka
Aalam,
Ke Uss Ko Neend, Mujhey Ratjagey Ki
Aadat Hai...
Ye Mushkilein To Phir Kaise Raastey
Tay Ho'n,
Mai Na-Saboor, Usey Sochney Ki
Aadat Hai...
Ye Khud-aziyati Kab Tak Faraz, Tu
Bhi Usey,
Na Yaad Kar Ke Jisey Bhoolney Ki
Aadat Hai..!!
"AhmadFaraz"
چلو وہ عشق نہیں چاہنے کی عادت ہے
پہ کیا کریں ہمیں ڈوبنے کی عادت ہے
تو اپنی شیشہ گری کا ہنر نہ کر ضائع
میں آئینہ ہوںمجھے ٹوٹنے کی عادت ہے
میں کیا کہوں کہ مجھے صبر کیوں نہیں آتا
میں کیا کروں کہ تجھے دیکھنے کی عادت ہے
تیرے نصیب میں اے دل ! سدا کی محرومی
نہ وہ سخی، نہ تجھے مانگنے کی عادت ہے
وصال میں بھی وہی ہے فراق کا عالم
کہ اسکو نیند مجھے رت جگے کی عادت ہے
یہ مشکلیں تو پھر کیسے راستے طے ہوں
میں ناصبور اسے سوچنے کی عادت ہے
یہ خود اذیتی کب تک فراز تو بھی اسے
نہ یاد کر کہ جسے بھولنے کی عادت ہے
(احمد فراز)
No comments:
Post a Comment