Friday, December 1, 2017

Main Aur Meri Aawaargi

Phirtey Hain Kab Se Dar-Ba-Dar
Ab Is Nagar Ab Us Nagar...
Ek Doosrey Ke Humsafar, Mai Aur Meri Aawaargi.!..

Na-Aashna Har Rah-guzar
Na-Meharbaa'n Har Ek Nazar,
Jaayein To Ab Jaayein Kidhar, Main Aur Meri Aawaargi...

Hum Bhi Kabhi Aabaad They
Aise Kahaan Barbaad They,
Be-fikr They, Aazaad They, Masroor They, Dilshaad They...

Wo Chaal Aisi Chal Gaya
Hum Bujh Gaye Dil Jal Gaya,
Nikley Jala Ke Apna Ghar, Main Aur Meri Aawaargi...

Jeena Bahut Aasaan Tha
Ek Shakhs Ka Ahsaan Tha,
Hum Ko Bhi Ek Armaan Tha, Jo Khwaab Ka Saamaan Tha...

Ab Khwaab Hai Na Aarzoo
Armaan Hai Na Justajoo,
Yoon Bhi Chalo Khush Hain Magar, Main Aur Meri Aawaargi...

Wo Mahwish, Wo Maahroo,
Wo Maah-e-Kaamil Hoo-ba-Hoo,
Thi'n Jis Ki Baatein Koo-ba-koo, Us Se Ajab Thi Guftugoo...

Phir Yoon Hua Wo Kho Gayi
To Mujh Ko Zidd Si Ho Gayi,
Laayenge Us Ko Dhoondh Kar, Main Aur Meri Aawaargi...

Ye Dil Hi Tha Jo Sah Gaya
Wo Baat Aisi Kah Gaya,
Kahne Ko Phir Kya Rah Gaya, Ashko'n Ka Dariya Bah Gaya...

Jab Kah Ke Wo Dilbar Gaya
Tere Liye Main Mar Gaya,
Rotey Hain Us Ko Raat Bhar, Main Aur Meri Aawaargi...

Ab Ghum Uthayein Kis Ke Liye
Aansu Bahayein Kis Ke Liye,
Ye Dil Jalayein Kis Ke Liye, Yoon Jaan Ganwayein Kis Ke Liye...

Peesha Na Ho Jis Ka Sitam
Dhoondhenge Ab Aisa Sanam,
Hongey Kahi'n To Kaargar, Main Aur Meri Aawaargi...

Aasaar Hain Sab Khott Ke
Imkaan Hain Sab Chhoott Ke,
Ghar Band Hain Sab Ghatt Ke, Ab Khatm Hain Sab Toott Ke...

Qismat Ka Ye Sab Pher Hai
Andher Hi Andher Hai,
Aise Huye Hain Be-asar, Main Aur Meri Aawaargi...

Jab Humdum O Humraaz Tha
Tab Aur Hi Andaaz Tha,
Ab Soz Hai Tab Saaz Tha, Ab Sharm Hai Tab Naaz Tha...

Ab Mujh Se Ho To Ho Bhi Kya
Saath Ho Wo To Wo Bhi Kya,
Ek Be-hunar, Ek Be-samar, Main Aur Meri Aawaargi..!!

_ Jawed Akhtar

پھرتے ہیں کب سے دربدر، اب اس نگر اب اُس نگر
اک دوسرے کے ہمسفر، میں اور میری آوارگی

ناآشنا ہر رہگزر، نامہرباں ہر اک نظر
جائیں تو اب جائیں کدھر، میں اور میری آوارگی

ہم بھی کبھی آباد تھے ایسے ۔۔۔ کہاں برباد تھے
بےفکر تھے، آزاد تھے، مسرور تھے، دلشاد تھے

وہ چال ایسی چل گیا ہم بجھ گئے دل جل گیا
نکلے جلا کے اپنا گھر، میں اور میری آوارگی

جینا بہت آساں تھا، اک شخص کا احسان تھا
ہم کو بھی اک ارمان تھا جو خواب کا سامان تھا

اب خواب ہے نہ آرزو، ارمان ہے نہ جستجو
یوں بھی چلو خوش ہیں مگر میں اور میری آوارگی

وہ مہوش وہ ماہ رو، وہ ماہِ کامل ہوبہو
تھیں جسکی باتیں کوبکو، اس سے عجب تھی گفتگو
پھر یوں ہوا وہ کھو گئی تو مجھکو ضِد سی ہوگئی
لائیں گے اسکو ڈھونڈ کر میں اور میری آوارگی

یہ دل ہی تھا جو سہہ گیا وہ بات ایسی کہہ گیا
کہنے کو پھر کیا رہ گیا، اشکوں کا دریا بہہ گیا

جب کہہ کے وہ دلبر گیاترے لئیے میں مر گیا
روتے ہیں اسکو رات بھر، میں اور میری آوارگی

اب غم اٹھائیں کس کے لئیے، آنسو بہائیں کس کے لئیے
یہ دل جلائیں کس کے لئیے، یوں جان گنوائیں کس کے لئیے
پیشہ نہ ہو جسکا ستم، ڈھونڈیں گے اب ایسا صنم 
ہوں گے کہیں تو کارگر، میں اور میری آوارگی

آثار ہیں سب کھوٹ کے، امکان ہیں سب چھوٹ کے
گھر بند ہیں سب گھٹ کے، اب ختم ہیں سب ٹوٹ کے
قسمت کا سب یہ پھیر ہے، اندھیر ہے اندھیر ہے
ایسے ہوئے ہیں بےآثار، میں اور میری آوارگی

جب ہمدم و ہمراز تھا تب اور ہی انداز تھا
اب سوز ہے تب سازتھا، اب شرم ہے تب ناز تھا

اب مجھ سے ہو تو ہو بھی کیا، ساتھ ہو وہ تو وہ بھی کیا
اک بے ہنر، اک بےثمر، میں اور میری آوارگی

- جاوید اختر -

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...