Sunday, November 19, 2017

Mujhey Shaakh Shaakh Se Todna

Mujhey Shaakh Shaakh Se Todna 
Phir Beech Beech Se Jodna... 
Ye Ada Ada Bhi Kamaal Hai 
Ye Saza Saza Bhi Kamaal Hai... 
Ye Shaam Shaam Ke Dhundhlakey 
Aur Qatra Qatra Si Baarishein... 
Mujhey Pyaas Pyaas Mai Daal Ke 
Phir Dasht Dasht Mai Chhorhna...
Ye Udaas Udaas Udaasiya'n 
Aur Door Door Ki Dooriya'n... 
Mujhey Ashk Ashk Bikher Ke 
Phir Hans Hans Ke Sametna... 
Ye Aag Aag Ka Khel Hai 
Isey Roz Roz Na Khelna...
Mujhey Warq Warq Kholna 
Phir Harf Harf Pe Sochna... 
Ye Jata Jafa Ke Raastey 
Aur Wafa Wafa Ki Manzilein... 
Mujhey Dhundh Dhundh Ke Dhundhna 
Phir Chhorh Chhorh Ke Chhorhna... 
Wo Chehra Chehra Hijaab Hai 
Merey Dard Dard Ka Ilaaj Hai... 
Mujhey Door Door Se Dekhna 
Mujhey Marz Marz Ka Bhoolna... 
Ye Ada Ada Bhi Kamaal Hai 
Ye Saza Saza Bhi Kamaal Hai..!! 

مجھے شاخ شاخ سے توڑنا
پھر بیچ بیچ سے جوڑنا...
یہ ادا ادا بھی کمال ہے
یہ سزا سزا بھی کمال ہے...
یہ شام شام کے دھندلکے
اور قطرہ قطرہ سی بارشیں
مجھے پیاس پیاس میں ڈال کے
پھر دشت دشت میں چھوڑنا
یہ اداس اداس اداسیاں
اور دور دور کی دوریاں
مجھے اشک اشک بکھیر کے
پھر ہنس ہنس کر سمیٹنا
یہ آگ آگ کا کھیل ہے
اسے روز روز نہیں کھیلنا
مجھے ورق ورق کھولنا
پھر حرف حرف پہ سوچنا
یہ جفا جفا کے راستے
اور وفا وفا کی منزلیں
مجھے ڈھونڈ ڈھونڈ کے ڈھونڈنا
پھر چھوڑ چھوڑ کے چھوڑنا
وہ چہرہ چہرہ حجاب ہے
مرے درد درد کا علاج ہے
مجھے دور دور سے دیکھنا
مجھے مرض مرض کا بھولنا
یہ ادا ادا بھی کمال ہے
یہ سزا سزا بھی کمال ہے ..!

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...