Saturday, November 18, 2017

Muddaton Baad Wo Hua Qaail

Muddaton Baad Wo Hua Qaail
Hum Usey Kab Qubool They Pahle...

Us Se Mil Kar Huye Hain Kaar-aamad
Chaand Taare Fuzool They Pahle...

Log Girte Nahi They Nazron Se
Ishq Ke Kuch Usool They Pahle...

Jin Ke Naamo'n Pe Aaj Raste Hain
Wahi Raston Ki Dhhool They Pahle..!!

- Surya Bhanu Gupt-

مدتوں بعد وہ ہوا قائل
ہم اسے کب قبول تھے پہلے

اس سے مل کر ہوئے ہیں کارآمد
چاند تارے فضول تھے پہلے

لوگ گرتے نہیں تھے نظروں سے
عشق کے کچھ اصول تھے پہلے

جن کے ناموں پہ آج رستے ہیں
وہی رستوں کی دھول تھے پہلے

سوریا بھانو گپت

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...