Saturday, November 18, 2017

Rakh Rakhaao Mein Koi Khwaar Nahi Hota Yaar

Rakh Rakhaao Mein Koi Khwaar Nahi Hota Yaar,
Dost Hote Hain, Har Ek Yaar Nahi Hota Yaar,

Do Ghadi Baitho Mere Paas Kaho Kaisi Ho,
Do Ghadi Baithne Se Pyaar Nahi Hota Yaar,

Yaar, Ye Hijr Ka Ghum, Is Se To Maut Achchi Hai,
Jaa'n Se Yunhi Koi Bezaar Nahi Hota Yaar,

Rooh Sunti Hai Mohabbat Mein Badan Bolte Hain,
Lafz Pairaaya-e-izhaar Nahi Hota Yaar,

Naukri, Shayeri, Ghar-baar, Zamana, Qadrein,
Ek Mohabbat Hi Ka Aazaar Nahi Hota Yaar,

Khush-dili Aur Hai Aur Ishq Ka Aazaar Kuch Aur,
Pyaar Ho Jaaye To Iqraar Nahi Hota Yaar,

Ladkiyaa'n Lafz Ki Tasweer Chhupa Leti Hain,
Un Ka Izhaar Bhi Izhaar Nahi Hota Yaar,

Aadmi Ishq Mein Bhi Khud Se Nahi Ghat Sakta,
Aadmi Saaya-e-deewar Nahi Hota Yaar,

Gher Leti Hai Koi Zulf Koi Boo-e-badan,
Jaan Kar Koi Giraftaar Nahi Hota Yaar,

Yahi Hum Aap Hain Hasti Ki Kahaani, Is Mein,
Koi Afsaanwi Kirdaar Nahi Hota Yaar.!!

"Dr. Iftikhaar Mughal" 

رکھ رکھاؤ میں کوئی خوار نہیں ہوتا یار
دوست ہوتے ہیں، ہر اک یار نہیں ہوتا یار

دو گھڑی بیٹھو مرے پاس، کہو کیسی ہو
دو گھڑی بیٹھنے سے پیار نہیں ہوتا یار

یار! یہ ہجر کا غم! اس سے تو موت اچھی ہے
جاں سے یوں ہی کوئی بیزار نہیں ہوتا یار

روح سنتی ہے محبت میں بدن بولتے ہیں
لفظ پیرایۂ اظہار نہیں ہوتا یار

نوکری، شاعری، گھر بار، زمانہ، قدریں
اک محبت ہی کا آزار نہیں ہوتا یار

خوش دلی اور ہے اور عشق کا آزار کچھ اور
پیار ہو جائے تو اقرار نہیں ہوتا یار

لڑکیاں لفظ کی تصویر چھپا لیتی ہیں
ان کا اظہار بھی اظہار نہیں ہوتا یار

آدمی عشق میں بھی خود سے نہیں گھٹ سکتا
آدمی سایۂ دیوار نہیں ہوتا یار 

گھیر لیتی ہے کوئی زلف، کوئی بوئے بدن
جان کر کوئی گرفتار نہیں ہوتا یار

یہی ہم آپ ہیں ہستی کی کہانی، اس میں
کوئی افسانوی کردار نہیں ہوتا یار..
______________________________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...