Monday, November 27, 2017

Agar Charaagh Bhi Aandhi Se Darr Gaye Hote

Agar Charaagh Bhi Aandhi Se Darr Gaye Hote,
To Sochiye Ke Ujaaley Kidhar Gaye Hote,

Ye Mere Dost Mere Chaaraagar Mere Ahbaab,
Na Chhedtey To Mere Zakhm Bhar Gaye Hote,
Koi Nigaah Jo Apni Bhi Muntazir Hoti,
To Hum Bhi Shaam Dhale Apne Ghar Gaye Hote,

Agar Wo Meri Ayaadat Ko Aa Gaya Hota,
To Dosto'n Ke Bhi Chehrey Utar Gaye Hote,

Humein To Shauq-e-Sukhan Ne Samet Rakkha Hai,
Wagarna Hum To Kabhi Ke Bikhar Gaye Hote,

Unhein Bhi Mujh Se Mohabbat To Hai "Nafash" Lekin,
Main Poochhta To Yaqeenan Mukar Gaye Hote..!!

~Nafash Anbaalwi~

اگر چراغ بھی آندھی سے ڈر گئے ہوتے
تو سوچیے کہ اجالے کدھر گئے ہوتے
یہ میرے دوست مرے چارہ گر مرے احباب
نہ چھیڑتے تو مرے زخم بھر گئے ہوتے
کوئی نگاہ جو اپنی بھی منتظر ہوتی
تو ہم بھی شام ڈھلے اپنے گھر گئے ہوتے
اگر وہ میری عیادت کو آ گیا ہوتا
تو دوستوں کے بھی چہرے اتر گئے ہوتے
ہمیں تو شوق سخن نے سمیٹ رکھا ہے
وگرنہ ہم تو کبھی کے بکھر گئے ہوتے
انہیں بھی مجھ سے محبت تو ہے نفس لیکن
میں پوچھتا تو یقیناً مکر گئے ہوتے

نفس انبالوی

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...