Sunday, November 19, 2017

Aasaan Ho Gaye Kabhi Dushwaar Ho Gaye

Aasaan Ho Gaye Kabhi, Dushwaar
Ho Gaye...
Itna Chaley K Raastey Humwaar
Ho Gaye...

Jis Din Se Tum Humarey Tarafdaar
Ho Gaye...
Chaahey Gaye Hum Itney K Bezaar
Ho Gaye...

Sab Raabtey... Ye Silsiley Bekaar
Ho Gaye...
Jis Jis Jagah Pe Dar They, Wo Deewar
Ho Gaye...

Is Paar Ho Gaye, Kabhi Us Paar
Ho Gaye...
Makkaar Kitney Saahibe Kirdaar
Ho Gaye...

Makkaar Kitney Saahibe Kirdaar
Ho Gaye...
Jis Din Se Aap Saahibe Dastaar
Ho Gaye...

Hum Log Kalma Padh Ke Bhi Muslim
Na Ban Sakey...
Apney Amal Se... Dekh Lo... Kuffaar
Ho Gaye...

Chhat Ko Tarastey Rah Gaye Basti
Ke Log Aur...
Masjid Ke Oonchey Mimbar-O-Meenar
Ho Gaye...

Jab Dil Kiya To Safha-E-Hasti Se
Mit Gaye...
Honey Pe Aaye Hum To Lagaataar
Ho Gaye...

Jis Ko Saleeqa Tak Nahi Tha Bolney
Ka Bhi...
Padhtey Hi Merey Sheyr Wo Fankaar
Ho Gaye...

Waisey To Shayeri Se Koi Waasta
Nahi...
Dekha Tujhey To Aaj Ye Ash'aar
Ho Gaye...

Shaana Bashaana Jab Tu Merey Saath
Chal Diya...
Dushman They Jitney Saarey Merey Yaar
Ho Gaye...

Haalaat Apney Thodey Se Nasaaz Kya
Huye...
Sab Dekhtey Hi Dekhtey Aghyaar
Ho Gaye...

Har Waqt Bhonktey Hain Magar Maut
Pe Meri...
Khamosh Saarey Shahar Ke Akhbaar
Ho Gaye...

Saahil, Tu Na-samajh Sa Hai, Chhodo Bhi
Jaaney Do...
Kuch Log Aisa Soch Ke Hoshiyaar
Ho Gaye.!

"Saahil Mahmood"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...