Tuesday, November 28, 2017

Aarzooyein Fuzool Hoti Hain

Aarzooyein Fuzool Hoti Hain,
Goya Kaaghaz Ke Phool Hoti Hain..!

Har Kisi Naam Par Nahi Rukti'n,
Dhadkanein Ba-Usool Hoti Hain..!

Pattharo'n Ke Khudaao'n Ke Aage,
Iltijaayein Fuzool Hoti Hain..!

Koi Mere Labo'n Ko Bhi La De,
Jo Duaaein Qubool Hoti Hain..!

Khwaab Tootein Ya Bikhar Jaaein,
Qeematein Kab Wasool Hoti Hain..!

ﺁﺭﺯُﻭﺋﯿﮟ ﻓُﻀُﻮﻝ ﮨَﻮﺗﯽ ﮨﯿﮟ،
ﮔَﻮﯾﺎ ﮐﺎﻏَﺬ ﮐﮯ ﭘﮭُﻮﻝ ﮨَﻮﺗﯽ ﮨﯿﮟ!.....،
ﮨَﺮ ﮐِﺴﯽ ﻧﺎﻡ ﭘَﺮ ﻧَﮩِﯿﮟ ﺭُﮐﺘِﯿﮟ،
ﺩﮬَﮍﮐَﻨﯿﮟ ﺑﺎ ﺍُﺻُﻮﻝ ﮨَﻮﺗﯽ ﮨﯿﮟ!.......،
ﭘَﺘﮭّﺮﻭﮞ ﮐﮯ ﺧُﺪﺍﺅﮞ ﮐﮯ ﺁﮔﮯ،
ﺍِﻟﺘِﺠﺎﺋﯿﮟ ﻓُﻀُﻮﻝ ﮨَﻮﺗﯽ ﮨﯿﮟ!......،
ﮐَﻮﺋﯽ ﻣَﯿﺮﮮ ﻟَﺒﻮﮞ ﮐَﻮ ﺑﮭﯽ ﻻ ﺩﮮ،
ﺟَﻮ ﺩُﻋﺎﺋﯿﮟ ﻗُﺒُﻮﻝ ﮨَﻮﺗﯽ ﮨﯿﮟ!......،
ﺧﻮﺍﺏ ﭨُﻮﭨﯿﮟ ﯾﺎ ﺑِﮑﮭَﺮ ﺟﺎﺋﯿﮟ ،
ﻗِﯿﻤَﺘﯿﮟ ﮐَﺐ ﻭُﺻُﻮﻝ ﮨَﻮﺗﯽ ﮨﯿﮟ..!!
_________________________

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...