Sunday, May 20, 2018

Jamegi Kaise Bisaat-e-yaraa'n Ke Shisha O Jaam Bujh Gaye Hain

Jamegi kaise bisaat-e-yaraa'n ke shisha o jaam bujh gaye hain,
Sajegi kaise shab-e-nigaraa'n ke dil sar-e-shaam bujh gaye hain,

Wo teergi hai raah-e-butaa'n mein charagh-e-rukh hai na shaam-e-waada,
Kiran koi aarzu ki laao ke sab dar-o-baam bujh gaye hain,

Bahut sambhaala wafa ka paimaa'n magar wo barsi hai ab ke barkha,
Har ek iqraar mit gaya hai tamaam paighaam bujh gaye hain,

Qareeb aa ai maah-e-shab-e-ghum nazar pe khulta nahin kuchh is dam,
Ke dil pe kis kis ka naqsh baaqi hai kaun se naam bujh gaye hain,

Bahaar ab aa ke kya karegi ke jin se tha jashn-e-rang-o-naghma, 
Wo gul sar-e-shaakh jal gaye hain wo dil tah-e-daam bujh gaye hain.!!

"Faiz Ahmad Faiz"

No comments:

Post a Comment

Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar

Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar,  Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai  Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...