Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho,
Zindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho,
Sirf aankhon se hi duniya nahin dekhi jaati,
Dil ki dhadkan ko bhi binaai bana kar dekho,
Pattharon mein bhi zabaan hoti hai dil hote hain,
Apne ghar ke dar-o-deewar saja kar dekho,
Wo sitaara hai chamakne do yunhi aankhon mein,
Yya zaroori hai use jism bana kar dekho,
Faasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai,
Wo mile ya na mile haath badha kar dekho.!!
"Nida Fazli"
No comments:
Post a Comment