Meri Lau Lagi Hai Tujh Se Ghum-e-zindagi Mita De,
Tera Naam Hai Maseeha Mere Dard Ki Dawa De,
Meri Pyaas Badh Rahi Hai, Mera Dil Sulag Raha Hai,
Jo Nahi Hai Jaam-e-saaqi To Nigaah Se Pila De,
Mera Mudda'a Hai Itna, Tu Agar Kare Gawaara,
Main Faqeer-e-aastaa'n Hoon, Mujhe Bandagi Sikha De,
Mujhe Shauq-e-bandagi Mein Yahi Ek Aarzoo Hai,
Tera Naqsh-e-paa Jahaan Ho Mera Sar Wahi'n Jhuka De,
Mujhe Dekh Kar Pareshaan Kya Kahega Ye Zamaana,
Main Bhatak Raha Hoon Dar Dar, Mujhe Aa Ke Aasra De,
Tera Jaam, Jaam-e-kausar Tera Maykada Hai Jannat,
Mere Haal Pe Karam Kar Meri Tishnagi Bujha De,
Jise Aap Chaahte They Wo "Fanaa" Hai Ab Kafan Hai,
Koi Ja Ke Aaj Un Ko Zara Ye Khabar Suna De.!!
"Fanaa Bulandshahri"
No comments:
Post a Comment