Us Ne Ek Baar Bhi Nahi Socha,
Main Yahi Sochta Raha Barson.!
Wednesday, June 26, 2019
Saturday, June 22, 2019
Wo Khumaar Se Bhari Aankhein Us Ki
Wo Khumaar Se Bhari Aankhein Us Ki,
Charaaghon Ka Qaafila Ho Jaise.!
وہ خمار سے بھری آنکھیں اس کی
چراغوں کا قافلہ ہو ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ جیسے..
Thursday, June 20, 2019
Hum To Muntazir The Teri Inayat Ke
Hum To Muntazir The Teri Inayat Ke,
Chalo Tum Ne Kuch To Kiya, Tabaah Hi Sahi.!
हम तो मुन्तजि़र थे तेरी इनाय़त के,
चलों तुमने कुछ तो किया, तबाह ही सही..
Kise Khabar hai Ke Umr Bas Us Pe Ghaur Karne Mein Kat Rahi Hai
Kise khabar hai ke umr bas us pe ghaur karne mein kat rahi hai,
Ke ye udaasi humare jismon se kis khushi mein lipat rahi hai..
Ajeeb dukh hai hum us ke ho kar bhi us ko chhune se darr rahe hain,
Ajeeb dukh hai humare hisse ki aag auron mein bat rahi hai..
Main us ko har roz bas yahi ek jhooth sunne ko phone karta,
Suno yahaan koi masala hai tumhari aawaaz kat rahi hai..
Mujh aise pedon ke sookhne aur sabz hone se kya kisi ko,
Ye bel shayad kisi museebat mein hai jo mujh se lipat rahi hai..
Ye waqt aane pe apni aulaad apne ajdaad bech degi,
Jo fauj dushman ko apna salaar girwi rakh kar palat rahi hai..
So is taalluq mein jo ghalat-fahmiyan thin ab door ho rahi hain,
Ruki hui gaadiyon ke chalne ka waqt hai dhundh chhat rahi hai.!!
کسے خبر ہے کہ عمر بس اس پہ غور کرنے میں کٹ رہی ہے,
کہ یہ اداسی ہمارے جسموں سے کس خوشی میں لپٹ رہی ہے..
عجیب دکھ ہے ہم اس کے ہو کر بھی اس کو چھونے سے ڈر رہے ہیں,
عجیب دکھ ہے ہمارے حصے کی آگ اوروں میں بٹ رہی ہے..
میں اس کو ہر روز بس یہی ایک جھوٹ سننے کو فون کرتا,
سنو یہاں کوئی مسئلہ ہے تمہاری آواز کٹ رہی ہے..
مجھ ایسے پیڑوں کے سوکھنے اور سبز ہونے سے کیا کسی کو,
یہ بیل شاید کسی مصیبت میں ہے جو مجھ سے لپٹ رہی ہے..
یہ وقت آنے پہ اپنی اولاد اپنے اجداد بیچ دے گی,
جو فوج دشمن کو اپنا سالار گروی رکھ کر پلٹ رہی ہے..
سو اس تعلق میں جو غلط فہمیاں تھیں اب دور ہو رہی ہیں,
رکی ہوئی گاڑیوں کے چلنے کا وقت ہے دھندھ چھٹ رہی ہے..
किसे ख़बर है कि उम्र बस उस पे ग़ौर करने में कट रही है
कि ये उदासी हमारे जिस्मों से किस ख़ुशी में लिपट रही है..
अजीब दुख है हम उस के हो कर भी उस को छूने से डर रहे हैं
अजीब दुख है हमारे हिस्से की आग औरों में बट रही है..
मैं उस को हर रोज़ बस यही एक झूट सुनने को फ़ोन करता
सुनो यहाँ कोई मसअला है तुम्हारी आवाज़ कट रही है..
मुझ ऐसे पेड़ों के सूखने और सब्ज़ होने से क्या किसी को
ये बेल शायद किसी मुसीबत में है जो मुझ से लिपट रही है..
ये वक़्त आने पे अपनी औलाद अपने अज्दाद बेच देगी
जो फ़ौज दुश्मन को अपना सालार गिरवी रख कर पलट रही है..
सो इस तअ'ल्लुक़ में जो ग़लत-फ़हमियाँ थीं अब दूर हो रही हैं
रुकी हुई गाड़ियों के चलने का वक़्त है धुंध छट रही है..
Sunday, June 16, 2019
Saath Chhodenge Nahi Hum Tera Aadam Ki Tarah
Saath Chhodenge Nahi Hum Tera Aadam Ki Tarah,
Peeche Peeche Tere Jannat Se Nikal Aayenge.!
ساتھ چھوڑیں گے نہیں ہم تیرا آدم کی طرح,
پیچھے پیچھے تیرے جنت سے نکل آئیں گے...
Tuesday, June 11, 2019
Ji Uthega Aap Ki Itni Si Shafqat Se Adam
Ji Uthega Aap Ki Itni Si Shafqat Se Adam,
Sirf Dil Rakhne Ko Hi Kuch Mehrbaan Ho Jaaiye.!
جی اُٹھے گا آپ کی اتنی سی شفقت سے عدم
صرف دل رکھنے کو ہی کچھ مہرباں ہو جائیے...
Dost Tujh Bin Ye Zindagi Kya Hai
Dost Tujh Bin Ye Zindagi Kya Hai?
Din Hain, Aur Din Guzaare Jayenge,
Hum Tumhare Baghair Jeene Ki
Pahli Koshish Mein Maare Jayenge.!
ﺩﻭﺳﺖ ﺗﺠﮫ ﺑِﻦ ﯾﮧ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ
ﺩﻥ ﮨﯿﮟ ﺍﻭﺭ ﺩﻥ ﮔﺰﺍﺭﮮ ﺟﺎﺋﯿﮟ ﮔﮯ..
ﮨﻢ ﺗﻤﮩﺎﺭﮮ ﺑﻐﯿﺮ ﺟﯿﻨﮯ ﮐﯽ
ﭘﮩﻠﯽ ﮐﻮﺷﺶ ﻣﯿﮟ ﻣﺎﺭﮮ ﺟﺎﺋﯿﮟ ﮔﮯ...
दोस्त तुझ बिन ये ज़िंदगी क्या है?
दिन हैं, और दिन गुज़ारे जाएंगे..
हम तुम्हारे बग़ैर जीने की
पहली कोशिश में मारे जाएंगे.
Aa Jao Ab Ziyarat Ka Sharf Bakhsh Do Mujhe
Aa Jao Ab Ziyarat Ka Sharf Bakhsh Do Mujhe,
Na Jaane Kab Se Wuzu Aankhon Ka Kiye Baithe Hain.!
آجاؤ اب زیارت کا شرف بخش دو مجھے
نجانے کب سے وضو آنکھوں کا کیے بیٹھے ہیں۔۔۔
Monday, June 10, 2019
Gulaab Rut Mein
Gulaab Rut Mein
Udaas Aankhon Se Hansne Waali Ladki,
Main Jaanta Hun
Muhabbaton Ka Jo Zikr Chheda
To Ro Padegi.!
گلاب رُت میں
اداس آنکھوں سے ہنسنے والی حسین لڑکی...
میں جانتا ہوں
محبتوں کا جو ذکر چھیڑا
تو رو پڑے گی..
Ada Sharm Lihaaz Aur Saleeqa Baaton Mein
Ada, Sharm, Lihaaz Aur Saleeqa Baaton Mein,
Ba-adab Ho Gaye Hain, Tum Se Mohabbat Kar Ke.!
अदा, शर्म, लिहाज़ और सलीका बातों में..
बा-अदब हो गए हैं, तुमसे मोहब्बत करके..
Ranj O Alam Ke Dhhol Baja Kar
Ranj-o-alam Ke Dhhol Baja Kar, Chahat Ka Kashkol Uthha Kar, Dar Dar Phirna Theek Nahin Hai Suno Mohabbat Bheekh Nahin Hai.! रन्ज-ओ-अलम के ...
-
Koi Aisa Jaadu Tona Kar... Mere Ishq Mein Wo Deewana Ho, Yoon Ulat Pulat Kar Gardish Ki... Main Shama Wo Parwana Ho, Zara Dekh Ke Chaal ...
-
Hum ne har dukh ko mohabbat ka tasalsul samjha.. Hum koi tum they ke duniya se shikayat kartay.! Ham ne sookhi hui shaakhon pe lahu chidk...
-
Bakht Ke Takht Se Yak-lakht Utara Hua Shakhs, Tu Ne Dekha Hai Kabhi Jeet Ke Haara Hua Shakhs... Hum To Maqtal Mein Bhi Aate Hain Ba-sad Sh...