Apne sab yaar kaam kar rahe hain,
Aur hum hain ke naam kar rahe hain..
Tegh-baazi ka shauq apni jagah,
Aap to qatl-e-aam kar rahe hain..
Daad-o-tahseen ka ye shor hai kyun,
Hum to khud se kalaam kar rahe hain..
Hum hain masroof-e-intizaam magar,
Jaane kya intizaam kar rahe hain..
Hai wo bechaargi ka haal ke hum,
Har kisi ko salaam kar rahe hain..
Ek qattaala chahiye hum ko,
Hum ye elaan-e-aam kar rahe hain..
Kya bhala saaghar-e-sifaal ke hum,
Naaf-pyaale ko jaam kar rahe hain..
Hum to aaye the arz-e-matlaab ko,
Aur wo ahtiraam kar rahe hain..
Na uthe aah ka dhuaan bhi ke wo,
Ku-e-dil mein khiraam kar rahe hain..
Us ke honthon pe rakh ke honth apne,
Baat hi hum tamaam kar rahe hain..
Hum ajab hain ke us ke kooche mein,
Be-sabab dhoom-dhaam kar rahe hain.!!
"Jaun Eliya"
__________
Daad-o-tahseen = praise and appreciation,
Qattaala = slayer, killer, tormenting beloved,
Saaghar-e-sifaal = glass of wine made of clay,
Naaf-pyaale = cup of belly-button,
Arz-e-matlab = expression of desire,
Khiraam = graceful walk/ gait,
No comments:
Post a Comment