Tere dar se na utha hun na uthunga ai dost,
Zindagi tere bina khwab hai afsana hai,
Muddaa is ke alawa nahin kuchh aur mera,
Tera deewana hun dar pe tere mit jaana hai,
Ai 'Fana' kahte hain mairaaj-e-ibaadat us ko,
Mere har sajde ka haasil dar-e-jaanana hai.!!
"Fana Bulandshahri"
No comments:
Post a Comment